Monday, June 20, 2022

Pita Kya Hai - What is Father

Pita ek ummeed hai ek aas hai 
Parivaar kee himmat aur vishvaas hai 

Baahar say vo beshak sakht aur garm hai 
Par andar say to makkhan saa narm hai 

Sangharsh ki aandhi mein haunslay ki deevaar hai 
Pareshaaniyon say ladnay ki dodhaari talvaar hai 

Pita bachpan mein khush karnay vaala khilauna hai 
Neend lagay to pait par sulaanay vaala bichhauna hai

Pita sapnon ko poora karnay vaali jaan hai 
Inheen say to maan aur bachon ki pehchaan hai
                  (Writer unknown)

No comments:

Post a Comment

One day, we will too..... Ek din ham bhi ....

During the recent visit of Respected Raj Mami ji and Narinder Mama ji to Chicago, we almost continually talked about Bhapa Ram Chand ji Maha...