Monday, May 2, 2022

Ye zameen tum ho Aasmaan ho tum

Ye zameen tum ho Aasmaan ho tum 
Har taraf tum ho par kahaan ho tum

Ye jahaan hai - jahaan jahaan ho tum 
Kya kahen kis qadar nihaan ho tum 

koyi be-lafz baat keh jaao 
Log kehtay hain be-zubaan ho tum 

Jaisay gardish mein hai lahoo ta-umr 
Yahin par ho magar ravaan ho tum

Koyi kehtaa hai tum yaqeenan ho 
Koyi kehtaa hai ik gumaan ho tum 

Ham kahaan hain hamen nahin maaloom 
Jahaan dhoondha vahaan vahaan ho tum 

‘Kaash’ vo bhee fasaana ho mumkin 
Ham kahen kuchh bhi to bayaan ho tum 
          ~ Priyal Maheshwari  'kaash' ~

No comments:

Post a Comment

What is Moksha?

According to Sanatan Hindu/ Vedantic ideology, Moksha is not a physical location in some other Loka (realm), another plane of existence, or ...