Sunday, July 16, 2023

Ek mehal tha Raja ka ik Raj kumari thi

Ek mehal tha Raja ka ik Raj kumari hoti thi 
Us Raja ko apni Prajaa jaan say pyaari hoti thi  

Baba kehtay thay ye khandahar Sita-Ram ka mandir tha 
Us mandir ki ek pujaaran Ram Dulaari hoti thi 

Pushpa aur Radha bhi meri behanon jaisi hoti thi 
Mangal Das aur mera beta - gehari yaari hoti thi 

Ek diye ki lau mein Baba 'Meer aur Ghalib padhtay thay 
Ek angithee hoti thi aur ik almaari hoti thi 

Shaam dhalay ik lawn mein saaray baith kay chaaye peetay thay 
Maiz hamaara ghar ka tha - kursi sarkaari hoti thi 

Ek kuaan meethay paani ka aur ik boodha Bargad tha 
Ek mohabbat ka gehavaara basti saari hoti thi 

Meethay geeton ki vo risna meethi dhun aur meethay bol 
Poorn-Maashi par aangan mein shab-bedaari hoti thi 

Ab jo Mulla waiz karay to khauf saa aane lagtaa hai 
Mohan-Das say Naaten sun kar riqqat taari hoti thi

Rishton ka ehsaas lahoo kay andar rachtaa-bastaa tha 
Kab aesi nafsaa-nafsi aur maara-maari hoti thi? 
                              " Writer: Jaana Malik " 

Khandahar   = Ruins 
Pujaaran    = Lady Preist
Maize  == Table
 kursi        =  Chair
Kuuaan    = Well
Bargad  === Banyan tree 
Gehvaara = Place, cradle 
Risna   --- Ooze 
Poorn-Maashi  = full moon, the night of the full moon, the fourteenth night of the lunar month
Bedaari - Awake
Shab-bedaari = waking all night 
Waiz = Preacher, Preaching, 
khauf = Fear 
Na'at =  Songs in praise of Prophet Mohammad 
Riqqat = Wet eyes with emotions, sentiments 
Riqqat Taari hoti thi = Having tears in eyes - Being sentimental 
Nafsaa-Nafsi = Selfishness, Thinking of oneself only 

2 comments:

Itnay Betaab kyon hain - Why so much restlessness?

 Itnay betaab - itnay beqaraar kyon hain  Log z aroorat say zyaada hoshyaar  kyon hain  Moonh pay to sabhi dost hain lekin Peeth peechhay d...