Monday, August 31, 2020

Dil kay behlaany ko 'Ghalib' ye khyaal achhaa hai

Husn-e-mah garche ba-hangaam-e-kamaal achhaa hai
Us say Meraa Mah-e-khursheed-e-jamaal achhaa hai

Bosaa detay nahin or dil pay hai har lehzaa nigaah
Jee may kehtay hain ki muft aaye to maal achhaa hai

Aur bazaar say lay aaye agar toot gayaa
Saagar-e-jam say mera jaam-e-sifaal achhaa hai

Betalab dain to mazaa us me sivaa miltaa hai
Vo gadaa jis ko na ho khu-e-savaal achhaa hai

Ham-sukhan teshay nay Farhaad ko Sheerin sa kiyaa
Jis tarah kaa ki kisee me ho kamaal achhaa hai

Qatraa Dariya me jo mil jaye to dariya ho jaaye
Kaam achhaa hai vo jis ka ki muaal achhaa hai

Un kay dekhay say aa jaati hai munh pay raunak
Vo Samajhtay hain ki beemaar kaa haal achhaa hai

Dekhiye paatay hain ushaaq buton say kya faiz
Ik Brahman nay kahaa hai ye saal achhaa hai

Ham ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
Dil kay behlaany ko 'Ghalib' ye khyaal achhaa hai
                         'Asad Ullah Khan 'Ghalib'


Meanings
Husn-e-mah  = Beauty of moon
Ba-hangaam-e-kamaal = At its peek - Full moon
Meraa Mah-e-khursheed-e-jamaal = My moon (beloved's face) that shines like sun
Saagar-e-jam  = Wine glass of king Jamshed - which was never empty
Mera jaam-e-sifaal = My glass made of earth 

Gadaa= Poor
khu-e-savaal = Habbbit of asking/begging  - Greed
Muaal=  Outcome, Result
Ushaaq =  Lovers - Plural of Aashiq
Buton say = From beautiful bodies/people
faiz = Benfit


                 Betalab dain to mazaa us me sivaa miltaa hai
                   Vo gadaa jis ko na ho khu-e-savaal achhaa hai
There is more joy in giving, which is given without any expectation - of any kind of return.
One may be poor or feeble, but has no greed - who does not wish to ask or beg anything from anyone - is honorable and respected.
                
                  Aur bazaar say lay aaye agar toot gayaa
                  Saagar-e-jam say mera jaam-e-sifaal achhaa hai

What you have - even if it is of clay - is better than the gold or silver or diamond jewelry of others.

That is, instead of being jealous of others, if there is a feeling of satisfaction in the mind, then there is peace in life.

No comments:

Post a Comment

Itnay Betaab kyon hain - Why so much restlessness?

 Itnay betaab - itnay beqaraar kyon hain  Log z aroorat say zyaada hoshyaar  kyon hain  Moonh pay to sabhi dost hain lekin Peeth peechhay d...