Friday, September 4, 2015

Ye Zubaan kisi ne khareed lee (Roman script)

Zubaan kisi nay khareed lee, Qalam bhi ab gulaam hai
Peharay lagay hain Soach par, Dil pay padi lagaam hai

Na aqal hi aazaad hai - na hosh ka koi kaam hai
Pad gaye hain rooh pay parday zindagi gumnaam hai 

Chhup gayin haqeeqtain, Rasmo ka charchaa aam hai
Ibaadatain bhi aajkal Rivaayaton ka naam hai

Such ka sooraj chhup raha hai, dhal rahi ab shaam hai
khaamoshiyaan hi behtar hain ye vaqt ka paighaam hai

Haqoomaton ka daur hai, daulat ka aehtraam hai 
Vo  ki jo aazaad hai,  'Rajan' usay salaam hai 

                                         'Rajan Sachdeva'

 Zubaan -- Tongue (speech)
 Qalam --- Pen ( Writings)
 Aqal --  Intellect
 Gumnaam  -- Lost
 Haqeeqtain -- Realities, Truth
 Rasmo ka -- Traditions , Rituals 
 Charcha -- Talks, Dialogue 
 Aam -- Common, Popular
 Ibaadatain --  Devotion
 Rivaayaton ka --  Rituals
 khaamoshiyaan -- Silence 
 Behtar ---- Better
 vaqt ka paighaam -- Message of the time
 Haqoomaton -- Power struggle, Ruling over
 Daulat -- Wealth
 Aehtraam -- Respect, Value, Importance


2 comments:

  1. kya khoob kaha hai ji...Waah

    Regards
    Kumar

    ReplyDelete
  2. Thank you Rajanji. May Nirankar give you blissful freedom.
    P.K

    ReplyDelete

हर किसी को अपना दर्दो-ग़म न सुनाओ Don't share your pain with everyone

हर किसी को अपना दर्दो-ग़म न सुनाओ  ज़ख्म दिल के ग़ैरों को हरगिज़ न दिखाओ  जज़्बातों का दुनिया में कोई मोल नहीं 'राजन ' अहमियत चाहो तो है...