Thursday, April 11, 2019

Ye Sub kay bus ki baat nahin

Swar saagar mein doob kay gaanaa sub kay bas ki baat nahin
Shrota kay man ko chhoo paanaa sub kay bas ki baat nahin

Jod jod kay shabdon ko bhaashan to sub day letay hain
Vaanee say amrit barsaanaa sub kay bas ki baat nahin

Bhaav hriday mein hotay hain - lekin shabdon ko chun chun kar
Geet roop mein bhaav sajaanaa sub kay bas ki baat nahin

Phoolon say ghar ko mehkaana sub ko achchhaa lagtaa hai
Jeevan ki bagiyaa mehkaanaa sub kay bas ki baat nahin

Gyaan ki baaten padh sun kay dohraa saktaa hai har koyi
Jeevan mein unko apnaanaa sub kay bas ki baat nahin

Dekh kay maaya rang birangi sub ka man lalchaataa hai
Jeevan mein sanyam lay aanaa sub kay bas ki baat nahin

Badal jaaye jab Paristhiti to man mein uljhan hoti hai
Samay kay saanchay mein dhal jaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kathaakaar to mil jayengay ik say ik achchay lekin
Bhoolay ko maarag dikhlaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kehna to aasaan hai jag mein har prani say prem karo
Prem say sub ko kanth lagaanaa sub kay bas ki baat nahin

Baat baat mein dukhti rug pay unglee sab rakh detay hain
Dukhtay ghaavon ko sehlaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kya tootaa hai andar andar - koyi ye kaisay samjhaaye
Man kay ghaavon ko darshaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kathin nahin shakti kay bal par baat apnee manvaa lenaa
Sub kay hriday mein bas jaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kehtay hain kuchh log ki jeevan to ik gorakh-dhandhaa hai
Jeevan kee gutthee suljhaanaa sub kay bas ki baat nahin

Kuchh baaten jeevan mein anubhav say hee seekhi jaati hain
Jin ko shabdon mein samjhaanaa sub kay bas ki baat nahin

Sukh mein saathi ban jaatay hain - mitra, sambandhi, seh-karmi
Duhkh mein 'Rajan' saath nibhaanaa sub kay bas ki baat nahin
                        'Rajan Sachdeva'


Seh-karmi          Co-worker, Colleague 

No comments:

Post a Comment

Itnay Betaab kyon hain - Why so much restlessness?

 Itnay betaab - itnay beqaraar kyon hain  Log z aroorat say zyaada hoshyaar  kyon hain  Moonh pay to sabhi dost hain lekin Peeth peechhay d...