Monday, August 31, 2015

​Dost ban ke log daghaa dete rahe ​

​Dost ban ke log daghaa dete rahe ​
Phir bhi hum unko duaa dete rahe 

Us nay to mudh ke bhi phir dekhaa nahin
Hum magar usko sadaa dete rahe

Pehale jo in raaston se guzare thay 
Manzilon ka vo pataa dete rahe 

Aese bhi kuchh log hum nay dekhe hain
Jo lagaa ke aag havaa dete rahe

Zurm kya tha ye unhen bhi yaad nahin
Umar bhar lekin sazaa dete rahe

Unkaa bhi aehsaan mujh pe hai ki jo
Har qadam pe hauslaa dete rahe 

Un ki himmat dekhiye 'Rajan' Zaraa
Zakhm khaa ke jo duaa dete rahe

                                 'Rajan Sachdeva' 
                                   (August 28, 2015)

7 comments:

  1. yeah - remember one, "Kuch aise ilaaj kiya usne mere zakhm ka, ki marham bhi lagaya kaatein ki nok se"

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hmmm. I didn't know you like and understand Urdu shayeri.

      Delete
  2. Very deep thought and marvelous piece of poetry.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you Anonymous

      It would have been nice if you had added your name at least.
      But thanks again

      Delete
  3. Great info The lucky one came from the spot on your website because I saved it later as a favorite! Sad Poetry In Urdu Spot this writing, I really believe that this amazing site needs more attention. I'm probably coming back to read more, thanks for the info! sad poetry about love

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you Zeeshan for your kind remarks. Glad to know you liked my shayari.
      For some reason, your comment went in "awaiting moderation" folder which I found after many days.
      and thanks for the info about Sad Poetry.

      Delete

Singing Qawalis on someone's grave - Kisi ki qabr par qawaliyon say kuchh nahin hoga

Na hon Paisay to istaqbaaliyon say kuchh nahin hoga  Kisi Shaayar ka khaali Taaliyon say kuchh nahin hoga  Nikal aayi hai un kay pait say pa...