Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Maazoor ho na gareeb ho - Na koyi kisi ka raqeeb ho
Har marz ka tabeeb ho - Sukh chain sab ko naseeb ho
Miten dooriyaan - qareeb hon - Na gair - Sab habeeb hon
Shaaeestaa hon - adeeb hon - Sab log khush-naseeb hon
Ab kisi ko koyi gham na ho - Ab aankh koyi nam na ho
Koyi dil kisi ka na today - koyi saath kisi ka na chhoday
Koyi chaahay jis bhi haal mein ho - Larzish na uski chaal mein ho
Sabr-o-Sidaq khisaal mein ho - Har baat Sur aur Taal mein ho
Har lafz ho napaa tulaa - Na dil mein ho koyi gilaa
Sab maangen har ik ka bhalaa - Dil aasmaan saa ho khulaa
Na dil ho koyi malaal mein - Na haath uthen swaal mein
Na ho koyi zawaal mein - Har shakhs ho khush haal mein
Na hizra ho visaal mein - Har chehra ho jalaal mein
Hai kisi kay jo khyaal mein - Usay sab milay is Saal mein
Ye Saal nayaa ab aisaa ho - Na dangay hon na jhagdaa ho
Har dil mein pyaar ka jazbaa ho - Ki jo bhi ho sab achhaa ho
Lab pay bas yahi dua rahay - Har Dil mein yahi sadaa rahay
Sab pay Prabhu kripa rahay - Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Maalik ka aasraa rahay - Aur dil mein hauslaa rahay
Naa 'Rajan' faaslaa rahay - Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Lab pay ye hee dua rahay - Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Sab par Prabhu kripa rahay - Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
' Rajan Sachdeva '
Maazoor = Helpless, Feeble, Vulnerable
Raqeeb = Enemy
Tabeeb = Doctor, One who can cure, Therapist
Habeeb = Friends, Well-wishers
Shaaeestaa = Cultured, Courteous, Refined, Sophisticated
Adeeb = Wise, Intelligent, Civilized, Artistic
Larzish = Shivering, Trembling with fear
Khisaal = Nature, Habit
Malaal = Sorrow, Regret, Grief
Sawaal = Asking, Begging
Zawaal = Downfall, Decline
Hijra = Separation,
Visaal = Union
Jalaal = Glory, Dignity
Ek Brahman ne kaha hai ke ye saal achha hai...
ReplyDelete** Galib
Happy New Year
Absolutely right..we all wish the same.
ReplyDeleteBeautiful expression
👍❣🌹
Wishing all a very loving peaceful and healthy new year
ReplyDelete- Ram Nagrani