Saturday, November 13, 2021

Taj Mahal - Taj teray liye ik mazahare-ulfat hee sahee

Recently, I posted two lines from a Nzam - written by Sahir Ludhianavi on Taj Mehal
Some readers have asked for the complete Nazm.
Here it is:
                          ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
                        Meri Mehboob! kaheen aur milaa kar mujh say

Taj teray liye ik mazahare-ulfat hee sahee 
Tum ko is vaadi-e-rangeen say aqeedat hee sahee 
                      Meri Mehboob! kaheen aur milaa kar mujh say

Bazm-e-Shaahi mein gareebon ka guzar kya maanee
Sabt jis raah pay hon satvat-e-shaahi kay nishaan
Us pay ulfat bhari roohon ka safar kya maanee

Meri mehboob pas-e-parda-e-tashaheer-e-vafa 
Tu nay Satvat kay nishaanon ko to dekha hota
Murda shaahon ke maqaabir say behalnay waali
Apnay taareeq makaanon ko to dekha hota 

Un ginat logon nay duniya mein mohabbat kee hai 
Kaun kehtaa hai ki saadiq na thay jazbay un kay 
Lekin un kay liye tashaheer ka saamaan nahin 
Kyunki vo log bhee apni hee tarah muflis thay

Ye imaaraat-o-maqaabir, ye faseelen, ye hisaar 
Mutalaq-ul-hukm shehanshaahon ki azmat kay sutoon 
Daaman-e-daihar pay us rang ki gulkaree hai 
jis men shaamil hai teray aur meray ajdaad ka khoon 

Meri Mehboob! unhen bhee to mohabbat hogee 
Jin ki sannaayi nay bakhshi hai isay shaql-e-jameel 
Un kay pyaaron kay maqaabir rahay benaam-o-numood 
Aaj tak un pay jalaayi na kisi nay qandeel 

Ye chamanzaar, ye Jamuna ka kinaara, ye mehal 
Ye munaqkash dar-o-deevaar, ye meharaab, ye Taaq
Ik Shehanshaah nay daulat ka sahaara lay kar 
Hum gareebon kee muhabbat ka udaaya hai mazaaq 

                        Meri Mehboob! kaheen aur milaa kar mujh say
                                             " Sahir Ludhiaanavi "

Mazahare-ulfat     = Place for courtship 
Aqeedat    == Devotion, Reverence
Bazm-e-shaahi  =  King's Court 
Sabt  =    inscription, inscribed, Engraved 
Satvat-e-shaahi -- Royal wealth and majesty 
Pas-e-parda-e-tashaheer-e-vafa  =  Behind the veil of this publicity of love
Satvat kay nishaan  = Signs of Royal wealth, Show of power & grandeur, 
Murda shaahon ke Maqaabir - Tombs of dead kings 
Taareeq       = Dark - without light
Saadiq    =   Pure, true 
Tashaheer    = Publicity, Advertisement
Muflis  =  Poor
Imaaraat-o-maqaabir  =  Buildings and tombs
Faseelen    =    Wall around the fort - Fence
Hissar    = Fort
Mutalaq-ul-hukm = unchonditional absolute power - supreme command
Azmat kay Sutoon  = Towers, columns, pillars of their greatness & eminence  
Daaman-e-daihar pay =  on the world's sheet, slate
Gulkaari  =        Flowery engravings 
Teray aur meray Ajdaad ka khoon  =   Blood of your & my ancessotors 
Sannaayi     =  Artistry, Craftsmanship
Shaql-e-jameel  = Beautiful shape (form, structure) 
Unkay Maqaabir rahay benaam-o-numood = their tombs remained unknown, nonexistent 
Qandeel  = Candle 
Munaqkash dar-o-deevaar =  Elegantly engraved doors & walls
Meharaab  =   Arch, Chamber 
Taaq      =    small shelf - Niche carved in the wall 

1 comment:

  1. Never before enjoyed the nazm with the meaning of words you very kindly included.
    Thanks a million.

    ReplyDelete

ये दुनिया - Ye Duniya - This world

कहने को तो ये दुनिया अपनों का मेला है पर ध्यान से देखोगे तो हर कोई अकेला है      ~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Kehnay ko to ye duniya apnon ka mela hai...