Tuesday, January 16, 2024

Kamar baandhay huye chalnay ko yaan sab yaar baithay hain

Kamar baandhay huye chalnay ko yaan sab yaar baithay hain 
Bahut aagay gaye -- baaki jo hain tayyaar baithay hain 

Na chhed ae nikahat-e-baad-e-bahaari raah lag apni 
Tujhay atakheliyaan soojhi hain - ham be-zaar baithay hain 

Najeebon ka ajab kuchh haal hai is daur mein yaaro 
Jisay poochho yahi kehtay hain - ham bekaar baithay hain 

Kahaan gardish falak ki chain deti hai suna 'Insha' 
Ganeemat hai ki ham-soorat yahaan do-chaar baithe hain 
                                        "Insha Allaah Khaan Insha"

Nikahat-e-baad-e-bahaari = Fragrance of spring breeze 
Athkheliyaan  =  mischiefs, pranks
Be-zaar = Distressed, Sick of/ Apathetic - having no interest or enthusiasm
Najeeb = Noble, Generous, praise worthy
Gardish  = Circulation, Rotation, Wandering about, Also change of fortune or having bad luck 
Falaq   = Sky, Heaven 
Ganeemat hai..... = Even this is a boon or blessing that a few close friends are still around 

1 comment:

Itnay Betaab kyon hain - Why so much restlessness?

 Itnay betaab - itnay beqaraar kyon hain  Log z aroorat say zyaada hoshyaar  kyon hain  Moonh pay to sabhi dost hain lekin Peeth peechhay d...