Wednesday, October 20, 2021

Ye mera hai - Vo mera hai

Ye meraa hai - Vo meraa hai
Kyon main nay mujhko gheraa hai

Main bhool gaya- tum bhool gaye
Sab chalaa chalee ka pheraa hai

Sab apnaa apnaa kehtay hain
Kya jag mein hai jo apnaa hai ?

Jo apnaa hai - sab sapnaa hai
Ik sapnaa hee bas apnaa hai

Kal waala pal to beet gayaa
Is pal mein kaisee kal kal hai

Kal aanay waala jo pal hai
is pal mein us kee hal chal hai

             By: Dr. Jagdish Sachdeva (Michigan)

5 comments:

Guru Poornima - Thanks and Gratitude to all my Gurus

On the Auspicious Occasion of Guru Purnima, I extend my heartfelt greetings and Best wishes to our respected Parents, all Teachers & Men...