Monday, June 24, 2019

Kahaan par bolnaa hai aur kahaan par bol jaatay hain

Kahaan par bolnaa hai aur kahaan par bol jaatay hain
Jahaan khaamosh rehnaa hai vahaan munh khol jaatay hain

Kataa jab sheesh sainik ka to hum khaamosh rehtay hain
Kataa ek scene picture ka to saaray bol jaatay hain

Kursee mulk khaa jaye to koyi kuchh nahin kehtaa
Magar rotee kee choree ho to saare bol jaatay hain

Gareebon kay gharon kee betiyaan ab tak kunvaari hain 
ki rishtaa kaisay hoga jab ki gehnay bol jaatay hain

Nayi naslon kay ye bachay zamaanay bhar kee suntay hain
Magar maan baap kuchh bolen to bachay bol jaatay hain

Bahut oonchi dukaanon mein kataatay jaib sab apnee
Magar mazdoor maangega to sikkay bol jaatay hain

Agar makhmal karay galtee to koyi kuchh nahin kehtaa
Phatee chaadar kee galtee ho to saaray bol jaatay hain

Hawaaon kee tabaahi ko sabhee chup chaap sehtay hain 
Chiraagon say huyi galtee to saare bol jaatay hain

Banaatay phirtay hain rishtay zamaanay bhar say aqsar hum 
Magar ghar mein zaroorat ho to rishtay bol jaatay hain

Kahaan par bolnaa hai aur kahaan par bol jaatay hain
Jahaan khaamosh rehnaa hai vahaan munh khol jaatay hain

                               Writer unknown 


No comments:

Post a Comment

Itnay Betaab kyon hain - Why so much restlessness?

 Itnay betaab - itnay beqaraar kyon hain  Log z aroorat say zyaada hoshyaar  kyon hain  Moonh pay to sabhi dost hain lekin Peeth peechhay d...