Tuesday, August 22, 2017

Ye Kya Kartay Ho ?

Patthar dilon ko meet banaatay ho - ye kya kartay ho 
Baihron ko sangeet sunaatay ho - ye kya kartay ho 

Jaante to ho ki duniya maati ka khilauna hai 
Phir bhi is say dil ko lagaatay ho - ye kya kartay ho 

Ishq-e-haqeeqi ki chaahat, aur duniya say prem bhi 
Aag ko paani say milaatay ho - ye kya kartay ho 

Ik kamal ka phool hai jo keechad me bhi hanstaa hai
Tum gulshan me sog manaatay ho - ye kya kartay ho 

Pehle kehtay thay ki sab rasmo-rivaayat chhod do
Ab nayi rasmen tum sikhaatay ho - ye kya kartay ho 

Chhodo vehmon bharmon ko pehlay to ye samjhaaya tha
Ab naye bharmon me uljhaatay ho - ye kya kartay ho 

Ungali pakad pakad ke jiski chalnaa tum nay seekhaa tha
Aaj unhi ko hi tum samjhaatay ho - ye kya kartay ho 

Day ke sab ko raushni vo diya aman ka bujh gayaa
Raakh ab maathay say lagaatay ho- ye kya kartay ho 

Jab tumharay paas thay to baat unki maani naa
Ab naam unka le ke samjhaatay ho - ye kya kartay ho 

Man ko saaf kar kay aana chaahiye Satsang me 
Jism ko sajaa ke aa jaatay ho - ye kya kartay ho 

Hum khaloosay dil se hamesha tumhen chahaa kiye 
Tum hami say aankh churaatay ho - ye kya kartay ho 

Baaten to kartay ho oonchi oonchi tum 'Rajan' magar
Baaton say hi dil ko behlaatay ho - ye kya kartay ho 

                                        'Rajan Sachdeva'




3 comments:

  1. Bahut achhi Kavita hai... very nice

    Kya khub apki soch hai... Kya khub usse kagaj pr sjate ho.....
    humeh hamara chehra dikhate ho. Yeh Kya karte ho

    Moksh .. Delhi

    ReplyDelete
  2. Itni khoobsurati se Dil ki baath bayan karte ho, yeh kya karte ho

    ReplyDelete
  3. Joh Bhi Likah Kartey Ho, Theek Tarikey Say Bata Detey Ho.

    ReplyDelete

घाटी और शिखर

जब घाटी से देखते थे - तो बहुत सुंदर लगता था शिखर।  जब शिखर के पास पहुँच कर देखा  तो लगा कि घाटी इस से ज़्यादा सुंदर है।  अक़्सर - दूर से देखने...