Us Raja ko apni Prajaa jaan say pyaari hoti thi
Baba kehtay thay ye khandahar Sita-Ram ka mandir tha
Us mandir ki ek pujaaran Ram Dulaari hoti thi
Pushpa aur Radha bhi meri behanon jaisi hoti thi
Mangal Das aur mera beta - gehari yaari hoti thi
Ek diye ki lau mein Baba 'Meer aur Ghalib padhtay thay
Ek angithee hoti thi aur ik almaari hoti thi
Shaam dhalay ik lawn mein saaray baith kay chaaye peetay thay
Maiz hamaara ghar ka tha - kursi sarkaari hoti thi
Ek kuaan meethay paani ka aur ik boodha Bargad tha
Ek mohabbat ka gehavaara basti saari hoti thi
Meethay geeton ki vo risna meethi dhun aur meethay bol
Poorn-Maashi par aangan mein shab-bedaari hoti thi
Ab jo Mulla waiz karay to khauf saa aane lagtaa hai
Mohan-Das say Naaten sun kar riqqat taari hoti thi
Rishton ka ehsaas lahoo kay andar rachtaa-bastaa tha
Kab aesi nafsaa-nafsi aur maara-maari hoti thi?
" Writer: Jaana Malik "
Khandahar = Ruins
Pujaaran = Lady Preist
Maize == Table
kursi = Chair
Kuuaan = Well
Bargad === Banyan tree
Gehvaara = Place, cradle
Risna --- Ooze
Poorn-Maashi = full moon, the night of the full moon, the fourteenth night of the lunar month
Bedaari - Awake
Shab-bedaari = waking all night
Waiz = Preacher, Preaching,
khauf = Fear
Na'at = Songs in praise of Prophet Mohammad
Riqqat = Wet eyes with emotions, sentiments
Riqqat Taari hoti thi = Having tears in eyes - Being sentimental
Nafsaa-Nafsi = Selfishness, Thinking of oneself only
Very nice
ReplyDelete🥀🙏🏻🥀💕
ReplyDelete