Sunday, September 17, 2017

Ik duniya mein sab rehtay hain - Ik duniya sab ke andar hai

Ik duniya mein sab rehtay hain - Ik duniya sab ke andar hai 
Is duniya se miltee jultee - phir bhee is say alag thalag
ik duniya sab ke andar hai 

Is duniya ko apane andar sab chhupaa ke rakhtay hain 
dekh na lay koyi, sab kee nazron se bachaa ke rakhtay hain 

Koyi kitna paas bhee aa jaye - dil mein bhee chaahay samaa jaye 
Phir bhee is duniya pay ham pardaa hee daalay rakhtay hain 

Dartay hain ki andar kay bhaavon ko koyi jaan na lay
Chhupay huye is andar ke maanav ko koyi pehchaan na lay

isi liye ham chehray par koyi nayi naqaab chadhaatay hain 
ik din mein hee dekho kitnay hee chehray badlaatay hain

Andar chaahay nafarat ho baahar se prem jataatay hain 
Andar hai abhimaan, baahar nimrataa dikhlaatay hain 

Kehatay hain kuchh aur zubaan say, dil mein hota hai kuchh aur 
mukh se maangen bhakti, dil mein hai shakti mil jaye aur 

Baahar say dikhtay bharay puray, lekin andar say reetay hain 
Andar aur baahar kee duniya kayi rangon mein jeetay hain 

Auron kee nazron say to ham isay bachaa kay rakhte hain 
Lekin khud bhee apnay andar jaanay se ham dartay hain 

Kabhee jo andar ka maanav apnaa ehsaas dilaata hai 
main bhee hoon, mujhako bhee dekho - ye aavaaz lagaata hai 

Uskee aavaaz dabaane ko ham khud ko aur uljhaatay hain 
Shor badhaa kay baahar ka andar ka shor dabaatay hain 

Dartay hain ki antas hee kaheen aaeena hamen dikhaa na day
Asleeyat jo hai hamaaree - vo tasveer dikhaa na day 

iseeliye ham shaayad kabhee akelay baith nahin paatay
Aur apnay hee andar kee duniya ko dekh nahin paatay

Auron kee ya khud kee nazron say to isay bachaa lengay 
Antaryaamee Prabhu say lekin kaisay isay chhupaa lengay 

Ik duniya mein ham rahatay hain - Ik duniya apnay andar hai 
baahar kay jag se miltee jultee -phir bhee is say alag thalag
Ik duniya apane andar hai 

Antar aur baahar mein choonki farq banaa hee rehtaa hai 
isee liye hee jeevan mein uljhaav sadaa hee rehtaa hai 

Andar aur Baahar kee duniya jis din ik ho jaayegi 
"Rajan" us din hee jeevan mein parm shaanti ho jaayegi

                                                "Rajan sachdev "


2 comments:

Everything we hear is an opinion - not a fact

We are living in the era of social media. However, everything we hear from someone - or read or watch on social media is their opinion -  - ...