Monday, October 10, 2016

Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Zaruri Baat Kehni Ho
Koi Waada Nibhaana Ho
Usay Awaaz Deni Ho
Usay Waapas Bulaana Ho
               Hameshaa Der Kar Deta Hun Main

Madad Karni ho uski
Yaar Ki Dhaaras Bandhaana ho
Bahut Derinaa Raston Par
Kisi Se Milne Jaana ho
             Hameshaa Der Kar Deta Hun Main

Badalte Mausamon Ki Sair Main
Dil Ko Lagaana Ho
Kisi Ko Yaad Rakhnaa Ho
Kisi Ko Bhool Jaana Ho 
             Hameshaa Der Kar Deta Hun Main

Kisi Ko Maut Se Pahle
Kisi Gham Se Bachaana Ho
Haqeeqat Aur Thi Kuchh
Us Ko Ja ke Ye Bataana Ho
             Hameshaa Der Kar Deta Hun Main

                       By : Munir Niazi 

5 comments:

  1. Everything from you is Thought Provoking, Rajan ji.

    Thank you for enriching our lives

    ReplyDelete
  2. Thank you Vishnu ji for your kind compliments.
    It's all His Grace..... His blessings.

    ReplyDelete
  3. This is a very nice piece. I remember hearing this at a poetry reading a few years ago. Thanks for bringing it to mind again. there is a good lesson in these words.

    ReplyDelete
  4. This is a very nice piece. I remember hearing this at a poetry reading a few years ago. Thanks for bringing it to mind again. there is a good lesson in these words.

    ReplyDelete
  5. heart touching poetry
    http://feelneel.com/hamesha-der-kar-deta-hoon/

    ReplyDelete

Singing Qawalis on someone's grave - Kisi ki qabr par qawaliyon say kuchh nahin hoga

Na hon Paisay to istaqbaaliyon say kuchh nahin hoga  Kisi Shaayar ka khaali Taaliyon say kuchh nahin hoga  Nikal aayi hai un kay pait say pa...