Thursday, March 24, 2016

Aaina (Roman Script)


Daagh chehare par lage the aur hum
Aaina hi saaf karte reh gaye 
 ~ ~~~~ ~ ~~~~  ~ ~~~~  ~ ~~~~ 

Aaina jab bhi uthaaya karo.......

Kisi aur ko dikhaane se pehale
Khud ko dekha karo
Phir kisi aur ko dikhaaya karo 
 ~ ~~~~ ~ ~~~~ ~ ~~~~ ~ ~~~~ 

Jab kisi pe kabhi tabsaraa  keejiye

Apne saamne bhi Aaina rakh leejiye 


No comments:

Post a Comment

No one remains forever - Na koi thir raheyaa

Sheikh Hayaati jag - Na koi thir raheyaa Jis aasan hum baithay katay bais gayaa                      ' Sheikh Farid"             ~~...