Monday, January 5, 2015

Hai Tamanna Manzil kee to (Roman Script)


Hai Tamanna Manzil kee to raasta dekha na kar
Ek Daaman thaam kar phir doosra dekha na kar

Koi bhi rehtaa nahin apnaa hamesha ke liye
Ik sivaaye Rubb ke, dooja Aasra dekha na kar

Dekhna khud ko zaroori hai Sanvarne ke liye
Par kare Maghroor jo, Vo Aaina dekha na kar

Bakhshaa hai garche Khuda ne dil tujhe Fitrat-Shnaas
Har kisi mai Hunar dekha kar, Buraa  dekha na kar

Har bashar kee zindagi mai hoti hain Majbooriyaan
Har kisi ko har samay shaq ki nigaah dekha na kar

Vo agar dekhen to dekhen, dushmani kee nazar se
Vaasta Rub ka ae dil,  Tu is taraah dekha na kar

Chaahta hai gar, naa teri  Khaamiyan dekhe koi
To doosron kee khamiyaan bhi khaamkhaah dekha na kar

Kya zaroorat hai ki ‘Rajan’ sub se hum kehte phiren
Is taraah dekha na kar,  tu us taraah dekha na kar

                                                   ‘Rajan Sachdeva’
                                                        January 2, 2015



1 comment:

हर किसी को अपना दर्दो-ग़म न सुनाओ Don't share your pain with everyone

हर किसी को अपना दर्दो-ग़म न सुनाओ  ज़ख्म दिल के ग़ैरों को हरगिज़ न दिखाओ  जज़्बातों का दुनिया में कोई मोल नहीं 'राजन ' अहमियत चाहो तो है...