Hai
Tamanna Manzil kee to raasta dekha na kar
Ek Daaman thaam kar phir doosra dekha na kar
Koi
bhi rehtaa nahin apnaa hamesha ke liye
Ik sivaaye Rubb ke, dooja Aasra dekha na kar
Dekhna
khud ko zaroori hai Sanvarne ke liye
Par kare Maghroor jo, Vo Aaina dekha na kar
Bakhshaa
hai garche Khuda ne dil tujhe Fitrat-Shnaas
Har
kisi mai Hunar dekha kar, Buraa dekha na
kar
Har
bashar kee zindagi mai hoti hain Majbooriyaan
Har
kisi ko har samay shaq ki nigaah dekha na kar
Vo
agar dekhen to dekhen, dushmani kee nazar se
Vaasta
Rub ka ae dil, Tu is taraah dekha na kar
Chaahta
hai gar, naa teri Khaamiyan dekhe koi
To
doosron kee khamiyaan bhi khaamkhaah dekha na kar
Kya
zaroorat hai ki ‘Rajan’ sub se hum kehte phiren
Is
taraah dekha na kar, tu us taraah dekha
na kar
‘Rajan Sachdeva’
January 2, 2015
Dhan nirankar ji.. very nice lines
ReplyDelete