Tuesday, December 28, 2021

Hazaar Naam thay meray magar main Ek tha

Safar hayaat ka tamaam - hijraton mein bant gaya
Vatan zameen hee rahee main sarhdon mein bant gaya

Hazaar naam thay meray magar main sirf ek tha
Na jaanay kab main mandiron mein masjidon mein bant gaya

Safar kay aakhri qadam pay ye khula, ki ghar mera
Bacha liya tha rahzanon say - rahbaron mein bant gaya

Khyaal tu hai, khwaab tu - sawaal tu,  jawaab tu
Main teri khoj mein nikal kay raaston mein bant gaya

Main lakht lakht aadmi kay dukh sametataa rahaa
Khuda jo masjidon mein tha namaaziyon mein bant gaya
                                                       " Farhat Shehzad "

Hayaat              = Life
Hijrton mein    =  Migrations, Changing place of residence
Rahzan              = Pirate, Thief, Robber
Rahbar              = Guide
Lakht-lakht      = Piece by piece

3 comments:

Ram Nam Sukh det hai -- Ram's Name is always Blissful

            Ram Nam Sukh det hai - Reejh Bhjo ya Kheejh             Jyon Dharti mein ugavai  ultaa Seedha Beej  The Name of Ram – The name o...