Ye duniya buton - shaah kaaron* ki duniya
Ye duniya haseen chaand taaron ki duniya
Ye phoolon kee duniya, bahaaron ki duniya
Ye rangeen dilkash nazaaron ki duniya
Kaheen jhoomtay baada-khvaaron ki duniya
Kaheen cheekhtay gham kay maaron ki duniya
Kaheen leedron - taabe-daaron ki duniya
Kaheen bebason kee, laachaaron ki duniya
Kaheen falsafee kay idaaron* ki duniya
Kaheen mazahabon ki diwaron ki duniya
Manidr, Maseet, Gurudwaron ki duniya
Dilon me gehari daraaron ki duniya
Khalihaan daftar bazaaron ki duniya
Kaheen hukmraan-ahalkaaron ki duniya
Ameer-e-shehar, taajdaaron ki duniya
Vo oonchi meenaron, mazaaron ki duniya
Kaheen sangdil - aur sharaaron ki duniya
Oonchay mahal aur chaubaaron ki duniya
Kaheen saada-lauh, naalaazaaron ki duniya
Sadak pay paday khaksaaron ki duniya
Farebon ki duniya - Saraabon ki duniya
Ye jhooti Anaaon - vaqaaron*ki duniya
Ye duniya faraibi makkaaron ki duniya
Ye duniya sayyaadon, ayyaaron* ki duniya
Ye duniya nahin meri chaahat ki duniya
Ye duniya nahin meri raahat ki duniya
Suna hai magar ik makaan aur bhee hai
Soorat ik pinhaan yahaan aur bhee hai
Zaahir kay peechhay nihaan aur bhee hai
Is jahaan say aagay jahaan aur bhee hai
Suna hai vo duniya, bahut hee haseen hai
Arsh na farsh - na falaq na zameen hai
Na deevaaro dar hai, na taala kaheen hai
Hai vo khushnaseeb jo uska makeen hai
Nafarat na ninda, na koyi nuktaachin hai
Kahaan hai vo duniya jo itni haseen hai ?
Vo duniya kaheen aasamaan pay nahin hai
Vo duniya bhee 'Rajan' yahin hai - yahin hai
' Rajan Sachdeva '
Buton, Shahkaron Beautiful faces, Artifacts
Idaaron institutions
Sangdil Stone hearted
Shararon Like fire)
Sada-loh Simple
Nalazaaron Crying, suffering
Saraabon Mirage
Anaaon, Vakaaron False ego, Dignity
Ayyaaron Over-clever

Very nice Poetry as well the message
ReplyDelete