Fakhar bakray nay kiya meray sivaa koyi nahin
Main hee main hoon is jahaan mein, doosraa koyi nahin
Main main jab na tark kee us mahave-asbaab nay
Pher dee chal kar chhuri gardan pay tab kassaab nay
Khoon, gosht, haddiyaan jo kuchh tha jisme saar mein
Lut gaya kuchh pis gaya kuchh bik gaya bazaar mein
Reh gayin aanten faqat main, main sunaanay kay liye
Lay gayaa naddaaf usay dhunki banaanay kay liye
Zarb kay jhonkon say jab vo aant ghabraanay lagee
Main kay badlay Tu hi Tu hi ki sadaa aanay lagee
(Writer unknown)
Fakhar = Pride, Arrogance, Egotism
Tark = Abandonment, desertion, abdication, to relinquish, to give up
Mahav = Engrossed - Immersed, absorbed
Asbaab = Material, Belongings, Possessions, Things
Kassaab = Butcher
Aanten = intestines
Naddaaf = Cotton Comber (person who separates cotton from seeds)
Dhunki = a bow used by the cotton-combers
Zarf = Intense, vigorous, Also used for a pot, Vase & Capacity, or capability
🥀🙏🏻🥀
ReplyDelete