Thursday, October 15, 2020

Log Miltay - Aur Bichhadtay Rahay

Vaqt ka pahiya sadaa chaltaa rahaa 
Kis kay rokay hai ruka - chaltaa rahaa 

Log miltay - aur  bichhadtay rahay 
Umar bhar ye silsilaa chaltaa rahaa

Kaun ruktaa hai kisi kay vaastay
Main giraa to kaafilaa chaltaa rahaa

Mil sakay na kabhi kinaaray dariyaa kay
Darmiyaan kaa faaslaa chaltaa rahaa 

Thaa Sabar aur shukar kaa aalam kabhi
Aur kabhi shikvaa gilaa chaltaa rahaa 


Manzilen paa letaa hai 'Rajan' ki jo
Rakh kay dil may hauslaa chaltaa rahaa
                                         'Rajan Sachdeva'

No comments:

Post a Comment

Maha Shivaratri -Time to awaken the Shiva Tatva within

    Maha Shivaratri means  realizing the Shiva Tatva and celebrating  the Peace Within. On this night, the constellations are aligned in a ...