Kya main ik nadee hoon ?
jo samandar say milanay kaye liye bechainsadiyon say kal kal beh rahee hai
ya phir vo samandar hoon - ki
aadikaal se jiski leharen
saahil pay sar patak rahee hain
ya vo jheel hoon -
jo apnay mein seemit
apnee hee qaid mein sookhtee rahi hai
khaali ho ho kar phir bharti rahi hai
ya phir main khud ka banaaya huaa ik taalaab hoon
jis kay oopar meray hee aham ki kaayi jam chuki hai
jis kay neechay mera tan aur man
din-ba-din mailaa - -
aur mailaa hotaa jaa rahaa hai
main jaanta hoon ki ik din
mujh ko phir say nehlaaya jaayega
meray shareer - mere aham ko jalaaya jaayega
meri raakh ko bhi nadee mein bahaaya jaayega
kya tab hee main apnay samandar say mil paunga ?
By: Doctor Jagdish Sachdeva (Michigan)
No comments:
Post a Comment