Thursday, November 19, 2020

Prabhu Daata - Sab ka Daata - With notation (to play)

                                            Scroll down for the Notation 
                                         (How to play and sing the tune)

Prabhu Daata - Sab ka Daata
Deendayaal Kripaal Dayaanidhi Sarv Kalaa ka gyaata
Prabhu daata sab ka daata

Allah kahay koi Ram kehat hai 
Vaaheguru koi Shyaam kehat hai 
Antar kewal naam ka hee hai - ek hai jagat vidhaata
Prabhu daata sab ka daata

Ishwar ka koi roop na rang hai 
Sarv vyaapi sab kay sang hai 
Is Nirankar ka sumiran kar lay - Satguru ye samjhaata
Prabhu daata sab ka daata

Bhanwaraa bandhay jyon phool kay sangaa
Deepak par jyon jalay patangaa
Taisay maaya jaal me phans kay - chanchal man dukh paata
Prabhu daata sab ka daata

Soye huye is man ko jagaa lay 
Gyaan ki jyoti man me jalaa lay
Ang-sang jo rehtaa hai 'Rajan' - jod lay us sang naata 
Prabhu daata sab ka daata
                                 ' Rajan Sachdeva '

Antra 


                    All Antras can be sung on the same notes

2 comments:

झूठों का है दबदबा - Jhoothon ka hai dabdabaa

अंधे चश्मदीद गवाह - बहरे सुनें दलील झूठों का है दबदबा - सच्चे होत ज़लील Andhay chashmdeed gavaah - Behray sunen daleel Jhoothon ka hai dabdab...