While driving back from Chicago late at night, I looked thru the window on my right side. There was a spectacular view of the full moon, running across the sky at a fast pace. It seemed as if it was racing along with my car.
My mind started wondering; wanting to ask the moon "Where are you going? What is your destination? What is it that you are trying to find? You have been moving night after night; for so long and still have not found your destination yet?
And a Kavita, a poem was born while wondering and pondering over these questions.
Aadat say Majboor hoon Mai
Chaand say maine poochha kyon tu raat raat bhar chalta hai
Kisko milnay ki khaatir - tu saari raat bhataktaa hai
Sadiyon chalnay par bhi manzil na tumko mil paayi hai
is chhor say us chhor tak kyon ye daud lagaayi hai
Vo bola chaah nahin manzil ki, isi liye Purnoor hoon main
Svachhand Freely

Chalnaa meri aadat hai aur aadat say majboor hoon main
Mainaa say poochha Maine kyon meethay raag tu gaati hai
Madhur madhur geeton say apnay sab ka dil behlaati hai
Meethi vaani sun kay kartay log tujhay pinjray mai band
Chhodo meethi vaani - raho aazaad - udo svachhand
Vo boli bus geeton may apnay hi rehti masroor hoon main
Gaanaa meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Poochha maine jharnay say kyon kal kal, kal kal behtaa hai
Nirmal sheetal jal apnaa dharti ko arpan kartaa hai
Na jaane patali si ye dhaara kahaan talak jaa paayegi
Saagar tak pahunchegi ya phir mitti may mil jayegi
Vo bola girtay jal ki meethi kal kal may makhmoor hoon main
Behnaa meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Poochha mainay shamma say tu kyon raat bhar jalti hai
Raushan auron ko karnay ki khaatir khud bhi jalti hai
Kaam nikal jaanay pay sab upkaar bhulaa detay hain log
Sooraj jab Niklay to dekho shammaa bujhaa detay hain log
Vo boli such hai raushani kee khaatir hee mashhoor hoon me
Jalnaa meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Doob rahay ik bichhu ko dekhaa to mainay liyaa uthaa
Lekin us bichhu nay fauran meray haath ko kaat liyaa
Poochhaa mainay bichhu say ki ye kaisaa anyaaye hai
Usi haath ko kaatay hai jo teri jaan bachaaye hai
Vo bola zehar mila qudrat say isi liye maghroor hoon main
Dasnaa meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Pedh se maine poochha itnay zulm tu kyonkar sehtaa hai
Garmi sardi seh kar apna sab kuchh deta rehtaa hai
Log teri chhaaya me baithen, Phal bhi teray khaatay hain
Sookh jaaye to kaat tujhay vo ghar apnaa banvaatay hain
Vo bola sadiyon say nibhaata aaya ye dastoor hoon main
Sehnaa meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Ik din Guru say poochha - kyon tum soye log jagaatay ho
Kyon bhulay bhatkay logon ko tum rastaa dikhlaatay ho
Logon nay to kabhi kisi Rehbar ki baat na maani hai
Guruon Peeron say duniya nay dushmani hi thaani hai
Vo bolay duniya kya karti hai, in baaton say door hoon main
Jagaana meri aadat hai - aur aadat say majboor hoon main
Poochhay hain kuchh log mujhay kyon roz roz tum likhtay ho
Jo kehtay- vo kartay ho - ya bus likhtay aur kehtay ho
Mainay kahaa vidyaarthi hoon mai - Gyaan-arjan hai kaam mera
Peshaa hai adhyaapan aur 'Professor Rajan' naam mera
Prachaarak hoon, updeshak hoon par karm say koson door hoon main
Kehanaa meri aadat hai aur aadat say majboor hoon main
'Rajan Sachdeva'
November 6, 2014

Masroor Joyous, Joyful
Makhmoor Intoxicated, Happy
Bichhu Scorpion
Anyaaye Injustice
Pedh Tree
Dastoor Tradition
Vidyaarthi Student
Gyaan-arjan To gain knowledge
Peshaa Profession
Adhyaapan Adhyaapan
So nice
ReplyDeleteWe are what we continually do.....
ReplyDeleteProf Rajan neh pucha...app sawal karteh ho aur repeat karto ho, app kyon assai karteh ho...
David neh bola mein Jygasu hoon, Raab Ka Ashaq hoon aur app mereh Guru bhi ho...
Kya Guru ka karam nih hai sawalon ka jawab denaaa ?
Phir Prof Rajan muskra kar keh kehteh, par vo dubara dubara repeat kyo karteh ho
Maineh kaha, jab app repeat karteh ho hum sikhteh hain annand atta hai aur addat meh majboor hoon...adat meh majboor hoon
Thank you David ji .... It seems that you are also on the road to become a poet now. ๐
Delete