Wednesday, December 19, 2018

Koi miltaa - koi bichhadtaa rahaa

Koi miltaa - koi bichhadtaa rahaa 
Umar bhar ye silsilaa chalta rahaa

Kabhi Sabro-shukar ka aalam rahaa

Aur kabhi shikvaa gilaa chalta rahaa 

Jism ka har ang saath chhod gaya
Saanson ka par kaarvaan chalta rahaa 

Kaun ruktaa hai kisi kay vaastay

Main gira to kaafilaa chalta rahaa 

Mil sake na kabhi kinaare dariyaa ke
Darmiyaan ka faaslaa chalta rahaa 

Manzil vo paa letaa hai 'Rajan' ki jo 
Rakh ke dil me hauslaa chalta rahaa 

                          'Rajan Sachdeva'
                        December 16, 2015

 Note: 
These lines came to my mind after seeing Shri Ramesh Nayyar Ji (Grandfather of Gaurav Nayyar ji) in the hospice on December 16,2015. I had known him and his family and often visited them in the 1970s - when I used to live in Jammu and they were in Pathankot, Punjab.



1 comment:

  1. Bahut Khoob. I remember those days of Pathankot. That was a very very blissful time.

    ReplyDelete

हज़ारों ख़ामियां मुझ में हैं - मुझको माफ़ कीजिए

हज़ारों ख़ामियां मुझ में  हैं   मुझको माफ़ कीजिए मगर हुज़ूर - अपने चश्मे को भी साफ़ कीजिए  मिलेगा क्या बहस-मुबाहिसों में रंज के सिवा बिला वजहा न ...