There is a beautiful Nazm (Poem) by Sahir Ludhianavi saahib:
" Sochata hoon ki mohabbat say kinaara kar loon
Dil ko begaana-e-tarageeb-o-tamanna kar loon "
I also thought of doing this .........
So, I tried --- and tried very hard - but did not succeed.
However, this morning, I tried to capture my thoughts in this Nazm:-
Dil begaana-e-tarageeb-o-tamanna na ho sakaa
Chaahnay pay bhee duniya say kinaaraa na ho sakaa
Mainay sochaa - pooray ho chukay armaan sub
Kar liye ikatthay jeenay kay saamaan sub
Ab na zindgee mein rahegaa koyee fiqar
Ho chukay hain ab to marhalay aasaan sub
Sochaa - dil mein ab koyi hasrat nahin rahee
Ab kisi bhee shae kee zaroorat nahin rahee
Aazaad ho chuka hai dil hasad kee qaid say
Ab to kisee say koyi nafarat nahin rahee
Socha - ab na rakhengay kisi say koyi ummeed
Ab na hogee khvaahishon ki koyi nayi tamheed
Pehlay jo hota rahaa, na-samajhee thee magar
Ab na hogee phir kabhee un baaton kee tajdeed
Socha - ki manzil pay ab to aa chukaa hoon main
Ki maayaa jaal say to door jaa chukaa hoon main
Ab to kuchh bhee karnay ko baakee nahin rahaa
Vallaah - ab to maarfat ko paa chukaa hoon main
Lekin - ab jaanaa ki ye to veham tha mera
Aaj samajh aaya ki dil naafeham tha mera
Aa gaya manzil pay - maarfat ko paa liyaa
Aisee baaten kehnaa mehaj aham tha mera
Roz uthtee hai nayee hasarat koyi dil mein
Jaltee rehtee hai hasad kee aag bhee dil mein
Yaksaan mohabbat sabhee say ho nahin payi
Baakee hain ummeeden, ranjishen abhee dil mein
Jab koyi manzar nayaa aayaa nazar kay saamnay
To dil ko baandhnay ka koee chaaraa na ho sakaa
Laakh chaahaa par duniya say kinaara na ho sakaa
Dil begaana - e - tarageeb-o- tamanna na ho sakaa
'Rajan Sachdeva'
Begaana-e-Tarageeb-o-Tamanna.....Free of hopes & desires
Marahalay ........ Difficulties
Hasad ....... Envy, Jealousy
Tamheed ........ New Beginning
Tajdeed - ........ Repetition
Naafeham ....... Ignorant
Maarfat ........ Adhyaatm Gyaan, Knowledge of Truth
Yaksaan ........ Same, similar, equal
Manzar ........ Scene scenario, view, synopsis

No comments:
Post a Comment