Zindagi mein sub kuchh to miltaa rahaa
Dil hai ki phir bhee gilaa kartaa rahaa
Birvaa meray aangan ka murjhaa gayaa
Sehara mein ik phool magar khiltaa rahaa
Baatin-o-Zaahir na yaksaan ho sakay
Kasham-kash ka silsilaa chaltaa rahaa
Auron ko detaa rahaa naseehatain
Aashiyaan apnaa magar jaltaa rahaa
Maazee ka rehtaa nahin us ko malaal
Vaqt kay saanchay mein jo dhaltaa rahaa
Paa sakaa na vo kabhee 'Rajan' sakoon
Jo hasad kee aag mein jaltaa rahaa
' Rajan Sachdeva '
Birvaa Tree
Sehraa Desert
Baatin-o-Zaahir Hidden & Obvious, Inside & out, Thoughts & Actions
Yaksaan The Same - As one
Maazee Past
Malaal Regret
Hasad Jealousy
Dil hai ki phir bhee gilaa kartaa rahaa
Birvaa meray aangan ka murjhaa gayaa
Sehara mein ik phool magar khiltaa rahaa
Baatin-o-Zaahir na yaksaan ho sakay
Kasham-kash ka silsilaa chaltaa rahaa
Auron ko detaa rahaa naseehatain
Aashiyaan apnaa magar jaltaa rahaa
Maazee ka rehtaa nahin us ko malaal
Vaqt kay saanchay mein jo dhaltaa rahaa
Paa sakaa na vo kabhee 'Rajan' sakoon
Jo hasad kee aag mein jaltaa rahaa
' Rajan Sachdeva '
Birvaa Tree
Sehraa Desert
Baatin-o-Zaahir Hidden & Obvious, Inside & out, Thoughts & Actions
Yaksaan The Same - As one
Maazee Past
Malaal Regret
Hasad Jealousy
Very nice Rajan ji!!
ReplyDelete"Zindagi mein sub kuchh to miltaa rahaa
Dil hai ki phir bhee gilaa kartaa rahaa"
We always complaint for materialistic things which we do not have/get. But one has stop and look back and see what they got an achieved and thank almighty Nirankar.. as we are so fortunate for what we have both Spiritually and Materialistically...
This also reminds me these lines from one of Chitra Singh's ghazal..
Duniya Jisse Kahten hain Jadu ka Khillona hai.. Mil Jayee to Mitti Hai.. Khoo Jaye to Sonna Hai..