Koi kisi kay saath hai - koi kisi kay saath
Meri to zindagi hai faqat Aap hi kay saath
Reham-o-karam say jholi meri bhar dee aap nay
Dekha hai jab bhi mainay tumhen bebasi kay saath
Shayad ghamon me doob kay reh jaati zindagi
Rehmat na teri hoti agar zindagi kay saath
Meri mushkilen hameshaa door kee hain aap naay
Mujhko nawaaza aap nay har ik khushi kay saath
Man me ho dhyaan tera, nazron me tu hi tu
Nisbat meri ho sirf teri zaat hi kay saath

Talkhi na ho zubaan me, lehjaa bhi naram ho
Pesh aaun har kisi say hi main aajizee kay saath
'Rajan' ki iltejaa hai - ae meray Saahiba
Baaki jo zindagi hai katay bandagi kay saath
'Rajan Sachdeva'

beautiful ardaas and beautiful ghazal
ReplyDelete