Dushmanon ki jholi mein bhi phool bhar kay dekh
Miltay nahin hain moti kinaaray pay baith kar
Ae dil samandaron mein tu gehray utar kay dekh
Mayoos na ho is qadar kaanton ko dekh kar
Khiltay huye ye phool bhi tu rahguzar kay dekh
Manzil bhi mil jayegi, tu be-sabar na ho
Ae dil zaraa abhi to nazaaray safar kay dekh
Raah mein qudarat kay nazaaray thehar kay dekh
Ye rang badaltay huye shaam-o-sehar kay dekh
Mausam-e-gul mein kabhi kaliyon ko khiltay dekh
Ye husn-e-mahtaab - ye jalway abar kay dekh
Tufaanon mein sambhalnaa bhi in say seekh lay
Ye doob kee haleemi, hausalay shajar kay dekh
Hai mukhtalif ehasaas ka majmooaa zindagi
Hai vasl ki khushi to kabhi gham hijar kay dekh
Duniya sudhaarnay ki fikar chhod day yaara
Duniya bhi sudhar jayegi tu khud sudhar kay dekh
Auron kay har ik kaam pay rakhtaa hai tu nazar
Ae dost apnay dil mein bhi ik din utar kay dekh
Doosaron ki galtiyaan aasaan hai dekhnaa
Tu ae dil-e-naadaan hunar har bashar kay dekh
Waqt say pehlay kabhi kuchh bhi nahin miltaa
Tu chhod day shikaayaten aur sabar kar kay dekh
Manzilon ka milnaa bhi mushkil nahin ae dost
Chal kay zara tu saath kisi raahbar kay dekh
Aayega har shay mein phir noor-e-Khuda nazar
Tu apnay dil kay aayinay ko saaf kar kay dekh
Mad-hoshi mein milti hai taskeen kis qadar
Ye raaz hosh ki kabhi had say guzar kay dekh
Khultaa nahin hai raaz-e-dil chehray ko dekh kar
Peechhay chhupa hai kya zara is chashm-e-tar kay dekh
Ab to badal chuki hai zamaanay ki rasm-o-raah
Badlay huye hain log bhi ab is shehar kay dekh
Kitnay sitam sahay magar phir bhi duaayen deen
Ae dost, hausalay zaraa meray jigar kay dekh
Achchha rahaa jahaan-e-rang-o-boo ka ye safar
Ab raastay 'Rajan' zaraa aglay safar kay dekh
" Rajan Sachdeva "
Husn-e-Mahtaab = Beauty of the moon
Jalway abar kay = Play of clouds
Doob = Grass
Shajar = Tree
Mukhtalif = Different, many, Opposite
Majmooaa = Combination, Mix,
Raahbar = Guide
Jahaan-e-rang-o-boo = The world of colors and fragrance
👍🏻
ReplyDelete