Monday, January 9, 2017

Kaise bataoon main tumhe Mere liye tum kaun ho

Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise bataoon main tumhe

Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagi, tum bandagi
Tum roshni, tum taazgi
Tum har khushi, tum pyaar ho
Tum preet ho, manmeet ho
Aankhon mein tum, yaadon mein tum
Saanson mein tum, aahon mein tum
Neendon mein tum, khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subah mein, tum shaam mein
Tum soch mein, tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum
Mere liye khona bhi tum
Mere liye hansnaa bhi tum
Mere liye ronaa bhi tum
Aur jagaana sona bhi tum
Jaaoon kahin, dekhoon kahin
Tum ho wahan, tum ho wahin
Kaise bataoon main tumhe
Tum bin to main kuchh bhi nahi
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho


Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum dharm ho
Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri
Tum hi to chaahat ho meri
Tum hi mera armaan ho
Taktaa hoon main har pal jise
Tum hi to woh tasveer ho
Tum hi meri taqdeer ho
Tum hi sitaara ho mera
Tum hi nazara ho mera
Yoon dhyan mein mere ho tum
Jaise mujhe ghere ho tum
Purab mein tum, pashchim mein tum
Uttar mein tum, dakshin mein tum
Saare mere jeevan mein tum
Har pal mein tum, har chhin mein tum
Mere liye rastaa bhi tum
Mere liye manzil bhi tum
Mere liye saagar bhi tum
Mere liye saahil bhi tum
Main dekhta bas tumko hoon
Main sochta bas tumko hoon
Main jaanta bas tumko hoon
Main maanta bas tumko hoon
Tumhi meri pehchan ho
Kaise bataoon main tumhe
Devi ho tum mere liye
Mere liye bhagwan ho
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataoon

                              By : Javed Akhtar 

16 comments:

  1. This is a very nice piece writing. I first heard this recited by Nana Patekar. Thanks for posting this, I have always wanted to look up the lyrics.

    ReplyDelete
  2. End kr gya yar๐Ÿ’ฏ๐Ÿ”ฅ๐Ÿ‘ˆ๐Ÿ‘Œ

    ReplyDelete
  3. wihdohawifhab nana patekar never fails to impress his fans

    ReplyDelete
  4. Really Great poetry i love this movies and this poetry

    ReplyDelete
  5. Nice I always wanna learn this poetry

    ReplyDelete
  6. This is amazing thought

    ReplyDelete
  7. in 2017 i fall in love a girl. I remembered this great poetry and shared with my love. she was so happy that after two years she cheated upon me

    ReplyDelete

Two Types of Gratitude

There are two types of gratitude. The first type of gratitude is for what we have - what we have received. The second is for what we did not...