Sehraa mein bikhri rait ka ek kan
jo umar bhar
baarish ki ek boond kay liye tarstaa raha
Dhoop mein taptaa raha
Aasmaan ki taraf taktaa raha
iss ummeed mein - ki kabhi to vaqt badlega
ik roz to aasmaan say paani barsegaa
Achaanak ek din -
kaheen door say
kuchh bhoolay bhatkay baadal
aakar uskay sar pay mandraanay lagay
us kay man ko harshaanay lagay
khushi say naach uthaa vo pyaasa rait ka qatraa
man mein aashaa kay kuchh deep jag-magaanay lagay
Aankhen chamak utheen -
honth geet gungunaanay lagay
Usay laga - ki dard-o-gam ke din ab door huye
Thandak paayegi ab barson say jalti huyi chhaati
usay laga - ki zindgi mein ab bahaar aayegi
pyaasi zindagi jalan say raahat paayegi
mehak uthegi fizaa phoolon ki khushbu say har taraf
usay lagaa - ki zindgi chaman ho jaayegi
Magar ye kya hua?
Kyon hua ?
Kaisay hua ?
Kya ye us ki kismat thee?
ya qudrat ka khel tha ?
ki baarish barasnay kay jab imkaan bananay lagay
Nau-bahaar kay kuchh yoon armaan jagnay lagay
Aankhon mein kuchh naye khwaab sajnay lagay
To hawaa kay ek jhonkay nay udaa kar usay -
kaheen door -
dhoop say taptay huye
rait kay ek doosray teelay pay laa kar patak diya
jahaan na baadal thay -
na ummeedon kay phool
bas thee vahaan siraf dhool hee dhool
jahaan door door tak har taraf bikhray huye thay
dhoop mein jaltee huyi rait kay qatray hee qatray
Na aankhon mein sapnay - na thandak na raahat
na dhadkan dilon mein - na nagmon ki chaahat
seenaa tha jin ka patthar saa ho gaya
unhi sab kay beech kahin vo bhi kho gaya
Armaan jo uthay thay - vo dil mein hee reh gaye
jo sapnay sajaaye thay aankhon nay -
sapnay hee reh gaye
Aql kee vaadi mein zehan bhatktaa rahaa
aakhir aisa kyon huaa -
ye sawaal baar baar khatkta rahaa
kya ye meri kismat thee ?
ya mehaj ik haadsaa ?
ya thee meray pichhlay gunaahon kee ye sazaa ?
ya ye uska shugal tha - maalik ki thi razaa ?
Sunaa hai aakhir to vahi hotaa hai
jo bhi mukaddar me likhaa hota hai
kisi kay sochnay ya karnay say kya hota hai?
to - jo likhaa tha kismat mein meri -
vo ho gaya
ye samjhaa kay dil ko -
aakhir thak kay so gayaa
Aur vo bechaara rait ka anjaan saa zarra
Rait kay sehraa mein kaheen dab kay kho gayaa
" Rajan Sachdeva "
Sehraa - Desert
Rait - Sand
Fiza - Atmosphere, surroundings
Imkaan - Possibility
Naubahaar - New Spring
qataray - small particles or drops
Mehaj - Just, Simply
Zarra - Small particle
No comments:
Post a Comment