Scroll down for the Roman script
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलतातमाम शहर में ऐसा नहीं ख़ुलूस न हो
जहाँ उमीद हो इस की वहाँ नहीं मिलता
कहाँ चराग़ जलाएँ - कहाँ गुलाब रखें
छतें तो मिलती हैं लेकिन मकाँ नहीं मिलता
ये क्या अज़ाब है सब अपने आप में गुम हैं
जुबां मिली है मगर हम-जुबां नहीं मिलता
चराग़ जलते ही बीनाई बुझने लगती है
ख़ुद अपने घर में ही घर का निशाँ नहीं मिलता
" निदा फ़ाज़ली "
ख़ुलूस = सच्चाई , निष्कपटता , निश्छलता
अज़ाब = दुःख, पीड़ा, कष्ट
बीनाई = देखने की शक्ति
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
Kaheen zameen, kaheen aasmaan nahin miltaa
Tamaam shehar mein aisaa nahin khuloos na ho
Jahaan ummeed ho is kee vahaan nahin miltaa
Kahaan chiraag jalaayen kahaan gulaab rakhen
Chhaten to milti hain lekin makaan nahin miltaa
Ye kya azaab hai sab apnay aap mein gum hain
Zubaan milee hai magar ham-Zubaan nahin miltaa
Chiraag jaltay hee beenaayi bujhnay lagtee hai
Khud apnay ghar mein hi ghar ka nishaan nahin miltaa
" Nida Fazali "

Khuloos = Truth, Sincerity, Honesty
Azaab = Pain, Sorrow, pang, grief
Beenaayi = Ability to see
Atti Uttam, uncle Ji
ReplyDeleteKhoob Surat ji
ReplyDeleteActually..- explain kardenge to acha hoga..I didn’t get it
ReplyDelete