Thursday, September 10, 2020

Kyon Mujh main Tujh main Doori Hai

Tu andar hai - baahar bhee too 
Kya sach hai - kya dhokha hai?

is uljhan mein jug beet gaya 
Main haar gaya jag jeet gaya 

Kya dena hai kya rakhana hai 
Kya apnaa hai kya sapnaa hai 

Ye sota hai - vo jagtaa hai 
Hai kaun jo jag ko thagtaa hai?

Apnee 'Main'  say jab uljhungaa 
Tab kaheen main ja kar suljhunga 

Is 'Main'  mein jab Tu bastaa hai  
Maya ka saanp kyon dastaa hai?

Main jag mein hoon - jag mujh main hai 
Tu jag mein hai - jag tujh main hai

Kyon mujh main Tujh main doori hai
                  Kya mujh main Tujh main doori hai?

                    By: Dr. Jagdish Sachdeva - Michigan

1 comment:


  1. “Apnee 'Main' say jab uljhungaa
    Tab kaheen main ja kar suljhunga”
    Beautiful🙏🏼

    ReplyDelete

What is Moksha?

According to Sanatan Hindu/ Vedantic ideology, Moksha is not a physical location in some other Loka (realm), another plane of existence, or ...