Friday, January 12, 2018

Aaya hai jo duniya mein ik din duniya se jaayega

Registaanon mein tum ne kya udatee dekhee rait kabhee ?
Daavaanal mein tum ne jalate dekhe hain kya khet kabhee ?
Vahaan jo ret ka teela tha - na jaane ud ke gaya kahaan
Laharaatee theen phasalen jis mein pal bhar mein ho gaya veeraan

Saagar tat par jaakar bache rait ke mehal banaate hain
Aatee jaatee laharon se pal bhar mein vo beh jaate hain
Sooraj kay aate hee jaise taaray sab chhip jaate hain
Jaise jal mein budabude uthte hain aur mit jaate hain

kuchh aisa hee chhinbhangur - ye jeevan ka afsaana hai 
Kehate hain jeevan ka matalab to aana aur jaana hai 

Saagar se laharen uth kar saahil se aa takraatee hain 
Na jaane kis hasarat mein dhartee se milne aatee hain 
Jaate jaate saath apne kuchh mittee bhee le jaatee hain 
Kabhee kabhee kuchh lahren seep aur motee bhee de jaatee hain 

Saagar se jal lekar baadal dhartee pe barsaate hain 
Parvat se nadiyaan naale  jal maidaanon mein laate hain 
Sooraj se ho kar raushan, raaton ko chaand chamkata hai 
Silasila qudarat ka lene - dene se hee chalata hai

Aana jaana - lena dena - yahee to hai jeevan ka khel 
Kisee se milna aur bichhdana sab hai sanjogon ka mel 
Kaun kisee ke aave jaave - daana paanee kismat lyaave 
Koyi kisee ko kichhu na devay aapun keeya har koyi paave

Baith ke kuchh pal aangan mein panchhee jaise ud jaate hain 
Dekh ke sookhee nadiyon ko - jaise pyaase mud jaate hain 
Aaya hai jo duniya mein ik din duniya se jaayega 
Naam rahega uska jo duniya ko kuchh day jaayega

Soch raha hoon 'Rajan'  ki jab main duniya se jaaoonga 
Jaate jaate kya main bhee, duniya ko kuchh de paaunga ?
Pehle gar lena seekhenge - tabhee to kuchh de paayenge 
Paas nahin kuchh hoga to kuchh dekar kaise jaayenge ?

                                           'Rajan Sachdeva'


Registaan                   Desert
Rait                              Sand
Daavanal                    Forest Fire
Teela                           Small Hill
Chhinbhangur          Temporary



1 comment:

मन मैला तन ऊजरा Man Maila Tan Oojara

मन मैला तन ऊजरा, बगुला कपटी अंग।  तासे तो कौआ भला, तन मन एक ही रंग ॥                  संत कबीर जी महाराज  Man Maila Tan Oojara -  Bagula Kap...