Sunday, March 28, 2021

Hiloren lay rahaa ho man, samajh lenaa ki holi hai

Karen jab paanv khud nartan, samajh lenaa ki holi hai
Hiloren lay rahaa ho man, samajh lenaa ki holi hai

Kisi ko yaad kartay hee agar bajtay sunaayi den
Kahin ghungharu kahin kangan, samajh lenaa ki holi hai

Kabhi kholo achaanak aap apnay ghar ka darvaaja
Khaday dehree pay hon saajan, samajh lenaa ki holi hai

Tarasti jis kay hon deedaar tak ko aap kee aankhen
Usay chhoonay ka aaye kshan, samajh lenaa ki holi hai

Hamaari zindagi yoon to hai ik kaanton bharaa jangal
Agar lagnay lagay madhuban, samajh lenaa ki holi hai

Bulaaye jab tujhay vo geet gaa kar taal par dhaph kee
Jisay maanaa kiye dushman, samajh lenaa ki holi hai

Agar mehsoos ho tum ko kabhi jab saans lo 'Neeraj '
Havaaon mein ghulaa chandan, samajh lenaa ki holi hai
                                          " Mahakavi Neeraj "

No comments:

Post a Comment

झूठों का है दबदबा - Jhoothon ka hai dabdabaa

अंधे चश्मदीद गवाह - बहरे सुनें दलील झूठों का है दबदबा - सच्चे होत ज़लील Andhay chashmdeed gavaah - Behray sunen daleel Jhoothon ka hai dabdab...