Maazoor ho na gareeb ho
Na koyi kisee ka raqeeb ho
Har marz ka tabeeb ho
Sukh chain sab ko naseeb ho
Miten dooriyaan sab qareeb hon
Na hon ghair - Sab habeeb hon
Shaaeestaa hon -- adeeb hon
Sab log khush-naseeb hon
Ab kisi ko koyi gham na ho
Ab aankh koyi bhee nam na ho
koyi dil kisi ka na today
koyi saath kisi ka na chhoday
Koi chaahay kisi bhi haal mein ho
Larzish na us kee chaal mein ho
Sabr-o-Sidaq khisaal mein ho
Har baat Sur aur Taal mein ho
Har lafz ho napaa tulaa
Na dil mein ho koyi gilaa
Sab maangen har ik ka bhalaa
Dil aasmaan saa ho khulaa
Na dil ho koyi malaal mein
Na haath uthen swaal mein
Koyi na ho zawaal mein
Har shakhs ho khush haal mein
Na hijar ho visaal mein
Har chehra ho jalaal mein
Hai kisi kay jo khyaal mein
Usay sab milay is Saal mein
Ye Saal nayaa ab aisaa ho
Ki jo bhi ho sab achhaa ho
Na dangay hon na jhagdaa ho
Har dil mein pyaar ka jazbaa ho
Lab pay bas yahi dua rahay
Har Dil mein yahi sadaa rahay
Sab pay hi Prabhu dayaa rahay
Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Maalik ka aasraa rahay
Aur dil mein hauslaa rahay
Naa 'Rajan' faaslaa rahay
Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Lab pay yahee dua rahay
Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
Sab par Prabhu dayaa rahay
Ye Saal Nayaa Achhaa Rahay
' Rajan Sachdeva '
Maazoor = Helpless, Feeble, Vulnerable
Raqeeb = Enemy
Tabeeb = Doctor, One who can cure, Therapist
Habeeb = Friends, Well-wishers
Shaaeestaa = Cultured, Courteous, Refined, Sophisticated
Adeeb = Wise, Intelligent, Civilized, Artistic
Larzish = Shivering, Trembling with fear
Khisaal = Nature, Habit
Malaal = Sorrow, Regret, Grief
Sawaal = Asking, Begging
Zawaal = Downfall, Decline
Hijar = Separation,
Visaal = Union
Jalaal = Glory, Dignity
Thanks for all your blessings ji and keep blessing as always!
ReplyDelete🙏❤🌹
Happy New year to Everyone!🙏
Heartily greatful to u for ur divine blessings 🙏🙏
ReplyDelete