Himaachhaadit parvat shrinkhlaa sajee dhajee hai
Chahun or shvet see prakriti nistabdh khadee hai
Nanhen nanhen shvet golon kee lagee jhadee hai
Sunaa hai aaj Kashmir mein barf padee hai !!
log baag kambal kay neechay badan chhupaatay hongay
Simtay-sikuday naukar-chaakar chaai banaatay hongay
Kehtay hongay log - aaj to thand kadee hai

Dal jheel ka paani bhee to jam gayaa hogaa
Paryatkon ka aanaa jaanaa tham gayaa hogaa
Laal chauk mein bhee na koyi bheed khadee hai

Nishat - Shaalimar barf say dhak gaye hongay
Chashme-Shaahi kay chashmay bhee jam gaye hongay
Dhartee lagtee hogee jaisay rajat jadee hai

Qudrat nay husno-naaz say jisko navaazaa hai
Us sarzameen ki yaad dil mein aaj bhee taazaa hai
Bhoolay bisray khwaabon ki bhee lagee jhadee hai

Rishiyon Muniyon kee ghaatee kyonkar ujdee hai
Bar-ru-e-zameen firdaus* kee soorat kyon bigdee hai
Kyon mazahab - millat ki vahaan diwaar khadee hai
Jannat jaisee ghaatee kyon sunsaan padee hai
Rab nay to sab bandon ko yaksaan banaayaa thaa
Saanjhee dhartee - saanjhaa aasmaan banaaya thaa
Valiyon peeron nay prem ka paath padhaaya thaa
Aapas mein miljul kay rehnaa hee sikhaaya tha
Na Hindu badaa hai - na Musalman badaa hai
Insaaaniyat ka dharm hee duniya mein badaa hai
Jang-o-jahad say zameen pay kuchh na bachega
Chain-aman say rehnay mein hee sab ka bhala hai
Nafraton say 'Rajan' kuchh bhee faayada nahin
Bandon say vair - bandgee ka qaayada nahin
Pyaar kee aatish jalaao - thand kadee hai
Vaadiyon ko phir sanvaarnay ki ghadi hai

'Rajan Sachdeva'
Himaachhaadit Covered with snow
Parvat shrinkhlaa Mountain range, Chain of mountains
Nistabdh Quiet, Silent
Paryatk Visitors
Rajat jadee Silver plated, Covered with Silver
Ghaatee Valley
Bar-ru-e-zameen firdaus Paradise on the face of the earth
Majahb-0-Millat Religionism
Yaksaan Equal, Similar
Jang-o-jahad Wars, Fightings, Hostilities

Aatish Fire, Flame, Spark
Note :
There is a saying in Persian about Kashmir :
*Cho bar Roo-e-zameen Firdaus ast
Hamee ast - hamee ast - hamee ast
If there is paradise on the face of the earth,
This is it - This is it - This is it.

No comments:
Post a Comment