Yesterday morning, when I opened the curtains - I saw this beautiful, astonishing scene from the window -
(See Pictures at the bottom)
Then later these few lines came to my mind
..........................................
Kis nay hain ye rang bikheray -
Kis nay ye tasveer banaayi?
Kkaun musavvar - subah saveray
Kya thee us kay man mein aayi?
Ye surkh aariz, sunehari shuaaen
Ufuq pay ye kaisa shabaab aa raha hai
Kaun hai jis kee aamad say -
Aasmaan huaa gulaabi gulaabi
Khushbu hai phaili baad-e-sabaa mein
Fizaa bhee hai lagti sharaabi sharaabi
ye haseen manzar, ye haseen nazaara
ye sach hai ya koyi khwaab aa rahaa hai
Mashriq say uthnay lagi hain kirnen
Parinday bhee sar uthaanay lagay hain
Arsh pay laal peelee lakeeren
Dekh kay chehchahaanay lagay hain
Aao mil kay ham bhee karen khair-maqdam
Ki subah-e-nau lay kay aaftaab aa rahaa hai
Har subah aatee hai nayi umang lay kar
Ek nayi aashaa - ummeed sang lay kar
Zaraa gaur say dekhnaa jab ho fursat
kya kya nazaaray dikhaati hai qudarat
Lay kay nayi umangen, nayi ummeeden 'Rajan
Lay kay naye imkaan naye asbaab aa rahaa hai
Suprabhaat keh kay - karen is kaa Svaagat
Nayi subah lay kay aaftaab aa rahaa hai
" Rajan Sachdeva "
Musavvar Painter
Aariz Face, Cheeks
Shuaen Rays
Uufuq Horizon
Baad-e-saba Morning breeze, Refreshing wind
Mashriq East
Arsh Sky
Khair-maqdam Welcome
Subahe-nau New morning
Imkaan Possibilities
Asbaab Reasons. Circumstances
Suprabhaat Good Morning
Aaftaab Sun
(See Pictures at the bottom)
Then later these few lines came to my mind
..........................................
Kis nay hain ye rang bikheray -
Kis nay ye tasveer banaayi?
Kkaun musavvar - subah saveray
Kya thee us kay man mein aayi?
Ye surkh aariz, sunehari shuaaen
Ufuq pay ye kaisa shabaab aa raha hai
Kaun hai jis kee aamad say -
Aasmaan huaa gulaabi gulaabi
Khushbu hai phaili baad-e-sabaa mein
Fizaa bhee hai lagti sharaabi sharaabi
ye haseen manzar, ye haseen nazaara
ye sach hai ya koyi khwaab aa rahaa hai
Mashriq say uthnay lagi hain kirnen
Parinday bhee sar uthaanay lagay hain
Arsh pay laal peelee lakeeren
Dekh kay chehchahaanay lagay hain
Aao mil kay ham bhee karen khair-maqdam
Ki subah-e-nau lay kay aaftaab aa rahaa hai
Har subah aatee hai nayi umang lay kar
Ek nayi aashaa - ummeed sang lay kar
Zaraa gaur say dekhnaa jab ho fursat
kya kya nazaaray dikhaati hai qudarat
Lay kay nayi umangen, nayi ummeeden 'Rajan
Lay kay naye imkaan naye asbaab aa rahaa hai
Suprabhaat keh kay - karen is kaa Svaagat
Nayi subah lay kay aaftaab aa rahaa hai
" Rajan Sachdeva "
Musavvar Painter
Aariz Face, Cheeks
Shuaen Rays
Uufuq Horizon
Baad-e-saba Morning breeze, Refreshing wind
Mashriq East
Arsh Sky
Khair-maqdam Welcome
Subahe-nau New morning
Imkaan Possibilities
Asbaab Reasons. Circumstances
Suprabhaat Good Morning
Aaftaab Sun
Very nice ji
ReplyDeleteThanks