Subah khidkee say jhaank kar dekhaa -
ki har taraph barf kee chaadar bichhi hai
Saamnay gharon ki chhaten, darakht aur sadken
Sab par safedi chhaayi hai
Pichhvaaday kee jheel bhee jam gayi hai
Aaj koi murgaabi, koi battakh bhee nazar nahin aayi hai
Sardiyon ka ye udaas saa mausam -
khaamosh hain ghar, dareechay aur galiyaan
Thithurtay jism bhee kam-zarf ho gaye hain
Doston mein bhi ab vo garmi nahin hai
Lagtaa hai rishtay bhee jam kar barf ho gaye hain
Svabhaav mein talkhee - boli mein rookhaapan
Teekhay teekhay say sab kay haraf ho gaye hain
Na jaanay zamaanay ko kya ho gayaa hai
Lagtaa hai koi bhee apnaa nahin hai
Lagtay hain sab ajnabi say - begaanay
Ab milnaa vo pahlay saa milnaa nahin hai
Milaa koi jhootha - koi saathi chhoota

Koi dost roothaa - koi rishtaa toota
Ye kissay hi aaj har taraf ho gaye hain
Achhaa hai na rakhen ummeed kisi say
Kahin aashaa niraashaa mein badal na jaye
Koi jitnaa karay - utnaa hee shukar hai
Kuchh aur paanay ko man machal na jaye
Ye karo meri khaatir - ab kehnaa nahin hai
Na shikvay shikaayat, na minnat khushaamad
Jazbaat kee dhaara mein behnaa nahin hai
jis jagah na ho izzat, qadar na ho koi
us jagah pay bahut dair rehnaa nahin hai
Magar phir ye khyaal aata hai -
Ki ho saktaa hai kal dhoop nikal aaye
aur ye barf pighal jaye
Shaayad kal zamaanay ka rang dhang bhi badal jaye
Vo puraani tehjeeb - vo salaahiyat
Vo sab say milnay milaanay ki neeyat
Vo rishton mein qurbat - doston mein mohabbat
Adab guftgoo mein - dilon mein muravvat
Vo Lehajay mein narmi - har ik say rafaaqat
Vo ragabat, vo ulfat, khuloos-o-sharaafat
Doston -azeezon kay duhkh sukh mein shirkat
Jawaanon kay dil mein buzurgon ki izzat
Ye bhooli bisree baaten agar laut aayen
Ye saleekay puraanay agar phir say aayen
Shafqat ka sooraj agar nikal aaye
To us ki garmaahat say mumkin hai 'Rajan'
ki dilon mein jamee kudoorat ki barf pighal jaaye
"Rajan Sachdeva"
Tehjeeb - Mannerism, Politeness, civilization
Salaahiyat - Gentleness, Ability, competence
Muravvat - Affection, kind-heartedness
Rafaaqat - Friendship, companionship

Lehja - Tone
Ragbat - Inclination, Interest
Khuloos - Sincerity, Truthfulness
Shirqat - Participation, To join, partnership
Shafqat - Affection, kindness
Kudoorat - Resentment, enmity, misunderstanding, meanness, ill-will

No comments:
Post a Comment