Thursday, January 27, 2022

Ye Meraa hai ye Teraa hai

Jo tu kehtaa hai ae gaafil ye meraa hai ye teraa hai 
Ye jis ka hai usee ka hai - na teraa hai na meraa hai 

Tu avval soch to dil mein ki tu hai kaun aur kya hai 
Namaazi hai sharaabi hai - uchakkaa hai luteraa hai? 

Farishta hai - pari hai - dev hai - ya aadami - jinn hai 
Balaa hai - bhoot hai - yaamun mazooraa ya kameeraa hai 

Jab in cheezon say tu apni tayeen kuchh cheez thehraa lay 
To us kay baad phir kahiyo ye mera hai ye tera hai 

Ye cheezen to garaz kya hain tu apnaa hee nahin maalik 
Tujhay O' be-khabar naadaan - ye kis gafalat nay gheraa hai

Tu kachay soot ka dhaagaa abas bal paich khaata hai 
Ye sab veham-e-galat hai aur qusoor-e-feham tera hai 

Tu kya jaanay ki tujh ko kis nay kis charkhay mein kaata hai 
Tu kya jaanay ki tujh ko kis ateran mein acheraa hai

Tamaasha hai mazaa hai sair hai kya kya aha haaha 
Musavvir nay ajab kuchh rang qudarat ka bikhera hai 

Taraqqee mein tanazzul hai - tanazzul mein taraqqee hai
Andheray mein ujaala hai - ujaalay mein andheraa hai 

Tilismaat-e-haqeeqee hai ye kuchh samjhaa nahin jaata 
Yahi chaand aur yahi sooraj yahi shaam aur saveraa hai 

'Nazeer' Allaah Alla is jahaan mein dam ganeemat hai 
Kahaan ham aur kahaan phir tum koyi dam ka baseraa hai
                                       ||Nazeer Aqabarabadi || 

Mazoora   =    Helpless, opressed
Abas          =    Just, Only 
Veham-e-galat =  Misunderstanding
Qusoor-e-feham = Fault of your thinking
Musavvir   =   Painter 
Taraqqee   =   Promotion
Tanazzul    =  Demotion, Decline,  fall, degradation 
kameera     =  Unknown, Secret 
Tilismaat-   =  Mirage 
Haqeeqee     =  Reality
Dam             =  Moment, Momentarily

1 comment:

  1. Wow, what a reality is described in beautiful way. Thanks very much Jì for the wonderful words.

    ReplyDelete

Who is Lord Krishn कौन और क्या हैं भगवान कृष्ण

Anupam Kher explains              Who or what is Lord Krishn   कौन और क्या हैं भगवान कृष्ण  -- अनुपम खैर  With English subtitles    ⬇️