Jis mein koyi kamee nahin hai ?
Har bashar mein hoti hai
koyi na koyi khaami - koyi kamzori
kisi mein zyaada - kisi mein thodi
Chhoti see bhool - ya koyi sanjeedaa
kaheen pay zaahir - kaheen posheedaa
Jahaan mein aisa kaun bashar hai
jis mein koyi kamee nahin hai ?
Jo lagtaa hai paak pavitra -
bus us men abhi - dikhee nahin hai
Kabhi kuchh hasraten -
baaton baaton mein ho jaati hain bayaan
ya kabhi kirdaar mein kuchh ho jaati hain ayaan (Revealed)
aur kuchh reh jaati hain
dabee dabee see - zehan mein hee pinhaan (Concealed)
Har ik ki zindgi mein kuchh vaaqyaat (Incidents)
Har ik kay zehan mein kuchh tasavvuraat (Thoughts)
aisay hote hain -
Jis par kisi na kisi ko to aitraaz hoga
koyi nuktaacheen hoga - koyi naaraaz hoga
Kuchh aisee baaten - koyi aisi harkat
Jisay ham samajhtay hain vaajib nahin hai
Naaqid nigaahon say dekhen agar (Critical)
to duniya mein koyi bhee saadiq nahin hai (Pure)
Haqeeqat to ye hai
ki jis say mohabbat ho -
jo achchha lagtaa ho
us ki har kamzori ho jaati hai nazar-andaaz
aur jo kisi vajah say achchha na lagay
us kee har baat pay hota hai - aitraaz
Aksar ham ye kehtay hain
ki kaun - kahaan, kab, kya karta hai -
ye Rab jaantaa hai -
kyon kartaa hai ?
kis ichchhaa say - kis laalach say ?
Vo sab jaantaa hai
Magar Vo jaantay huye bhi chup rehtaa hai
Achhay buray har ik kaam ko
Neki badee kay har khyaal ko
Chhupi ya zaahir - har ik baat ko
Har banday kee har harqat ko
har ik rug ko -
Vo pehchaantaa hai -
kis kay dil mein kya chhupaa hai -
Vo sab jaantaa hai
Magar jaan kar bhee
Chup rehtaa hai
Kuchh nahin kehtaa
Zaraa sochen --
ki agar Vo chup hai
to ham kyon boltay hain ?
Apnay taraazoo mein
Sab ko kyon toltay hain ?
Agar tumhen bhi Rab say pyaar hai
Us ka reham-o-karam tumhen darkaar hai
to jab bhee kisi mein koyi khaami nazar aaye
to Rab kee tarah hee
Chup rehnaa - kuchh na kehnaa
Sehansheeltaa aur vishaaltaa
Yahi to sab granthon ka saar hai
Sab ka 'Rajan' yahi hai kehnaa
Chup hee rehnaa - kuchh na kehnaa
Kuchh na kehnaa - chup hee rehnaa
' Rajan Sachdeva '
Posheeda = Hidden
Ayaan = Open, Revealed, Clear, Expressed
Pinhaan = Hidden - Concealed
Tasavvuraat = Thoughts (Plural of Tassavur)
Nuktaacheen = Critic, Caviller, Hypercritical
Vaajib = Right, Appropriate
Naaqid = Critical, Analytical, fault finding
Saadiq = Pure, Honest, Sincere
Darkaar =Desired, Required
Excellent creation.��
ReplyDeleteWonderful and highly motivational poem!
ReplyDeleteReal truth! ����
Wonderful ��❤️
ReplyDeleteWah wah samunder ko kuzey main bund ker diye yeh fun her ek ko nahi ata hota allah our kholay - uper waley ki amed hoti rahe
ReplyDeleteBeautiful ji
ReplyDelete