Suddenly this morning, I remembered one line from a Ghazal by
Mirza Ghalib:
"Be daro-deevaar sa ik ghar banaaya chaahiye"
Considering the phase, we are
going through nowadays,
I thought if we want to bring the good old days back,
then we should also try to build such a house:
"Aisay daro -deevaar ka ik ghar banaana chaahiye "
Then, swiftly - inexorably this
Nazm (poem) started to flow in my mind like a stream.
-------------------
Sadaaqat aur dayaanat daarikee eenton say bani
Buniyaad par,
Tiki ho ik aisee
Aimaal ki imaarat
jis ki daro deevaar say
chhalakati hon
Mohabbat aur
Eesaar kee kirnain,
jis ki dahaleej par
Faraib aur aiyyaari kay
kaarobaar na hon,
Mehaz khaloos say hoti ho
Mohabbat ki tijaarat
Nafarat ki zang-aasooda
Chitkani jahaan
darvaazon par na ho,
Hasad-aamez havaa ka
jahaan koyi guzar na ho,
Anaa ki oonchi oonchi
aasmaan ko chhooti
vahaan koyi chhatain na hon,
Hirso-havaa ya rashk ki
garmi na ho vahaan -
Mehsoos ho havaa mein
Mohabbat ki haraarat
Mil kay 'Rajan' sab ko
aisaa ghar banaana chaahiye
phir se agar vo sunehara
vaqt puraana chaahiye
'Rajan Sachdeva'
September 18, 2018
Sadaaqat Truthfulness
Dayaanat-daari Honesty
Aimaal Deeds, Actions
Eesaar Tyaag - Sacrifice
Fareb Fraudulent, Cheating
Ayyaari Cleverness, Cunning
Khaloos Pure
Tijaarat Transactions, Business, Give & take
Zang-aasooda Rusty, Rusted
Chitkani Lock
Hasad-aamez Envy, filled with jealousy
Anaa Ego
Hirso-havaa Greed & lust
Rashk Rivalry, Competition
No comments:
Post a Comment