Lagata hai ab dilon mein sadaaqat nahin rahee
Kirdaar mein kisee kay nafaasat nahin rahee
Bandagee karatay hain gharaz say ya khauf say
Be-gharaz aur be-khauf ibaadat nahin rahee
Har kisi say to mohabbat kar sakay na hum
Lekin kabhee kisee say adaavat nahin rahee
Buniyaad kachee ho gayi hai jab say gyaan kee
Pehlay see vo shradhaa ki imaarat nahin rahee
Mazahab bhee ek dhandhaa hee ban kay hai reh gaya
Duniya mein ab kaheen bhee sharaafat nahin rahee
Haq doosron kaa chheen kay hanstay hain dekho log
Jaisay kisee ke dil mein nadaamat nahin rahee
Vo bhee ab meri tarah sanjeedaa ho gaye
Bachon mein vo pehlay see sharaarat nahin rahee
Vo ishq mein pehlay saa josh ab nahin rahaa
Vo pehlay see husan mein nazaakat nahin rahee
Na dam sukhan-goyi mein hai na soch hai nayi
Vo shayari mein husnay - ibaarat nahin rahee
Na josh-e -javaani hai, na josh-e- junoon hai
Vo zauq-aafreen zahaanat nahin rahee
Aankhon mein vo khaloos-e-mohabbat nahin rahee
Chehron pay ab vo noor-o-vajaahat nahin rahee
Bus qaid ho kay reh gayee hai soch aajkal
Vishaal aasmaan see zahaanat nahin rahee
Ab samajh mein aa gayaa is daur ka chalan
'Rajan' ab kisee say shikaayat nahin rahee
Sadaaqat Truthfulness
Nafaasat Goodness
Adaavat Animosity, Hostility, Enmity
Nadaamat Shame, Feeling of being ashamed or humiliation
Sanjeeda Serious
Zauq-Aafareen Zahaanat Open, Light heart nature, Jolly nature
Sukhan-goyee Oratory, Eloquent Speaking style
Husane- ibaarat Beauty of language and grammar
Khaloose-mohabbat Purity of love
Nooro -Vajaahat Shine, glow on face
Zahaanat Thinking, Thoughts

'Rajan Sachdeva'
(September 14, 2018)
(September 14, 2018)
Sadaaqat Truthfulness
Nafaasat Goodness
Adaavat Animosity, Hostility, Enmity
Sanjeeda Serious
Zauq-Aafareen Zahaanat Open, Light heart nature, Jolly nature
Sukhan-goyee Oratory, Eloquent Speaking style
Husane- ibaarat Beauty of language and grammar
Khaloose-mohabbat Purity of love
Nooro -Vajaahat Shine, glow on face
Zahaanat Thinking, Thoughts
I hope we can bring all of these qualities back๐๐ฅ
ReplyDelete