Main jo kucch dekhtaa hoon
Suntaa hoon
Chhutaa hoon
Mehsoos kartaa hoon
Ye sub agar 'Mithyaa' hai
To Satya kya hai ?
Teri aankhen
Tere abroo
Tere aariz
Tere lub
Teri muskaan
Teri lachak
Ye sub agar 'Mithyaa' hai
To phir Satya kya hai ?
Jis din man us Satya ko paa lega
To sadiyon ka sanjoyaa
ye sapnaa toot jayega
Moh chhoot jayega
Bandhan toot jayega
Aur ......
Man shaant, nishchal,
nish-kratya ho jayega
Satya ko paakar Satya me kho jayega
Antatah Satya hi ho jayega
By: Doctor Jagdish Sachdeva
Michigan, USA
Abroo Eyebrows
Aariz Cheeks
Lub Lips
Shaant Peaceful
Nishchal Stable
Nish-Kratya Inactive
Antatah Finally, eventually
Suntaa hoon
Chhutaa hoon
Mehsoos kartaa hoon
Ye sub agar 'Mithyaa' hai
To Satya kya hai ?
Teri aankhen
Tere abroo
Tere aariz
Tere lub
Teri muskaan
Teri lachak
Ye sub agar 'Mithyaa' hai
To phir Satya kya hai ?
Jis din man us Satya ko paa lega
To sadiyon ka sanjoyaa
ye sapnaa toot jayega
Moh chhoot jayega
Bandhan toot jayega
Aur ......
Man shaant, nishchal,
nish-kratya ho jayega
Satya ko paakar Satya me kho jayega
Antatah Satya hi ho jayega
By: Doctor Jagdish Sachdeva
Michigan, USA
Abroo Eyebrows
Aariz Cheeks
Lub Lips
Shaant Peaceful
Nishchal Stable
Nish-Kratya Inactive
Antatah Finally, eventually
No comments:
Post a Comment