Sunday, June 4, 2017

Main Sochta hoon Zamaanay ko kya Huaa (Roman script)

Main sochta hoon zamaanay ko kya huaa ya'Rub
Kisi ke dil me mohabbat nahin kisi ke liye

Chaman me phool bhi har ek ko nahin miltay
Bahaar aati hai lekin kisi kisi ke liye

Unhi kay sheesha-e-dil choor choor ho ke rahay
Tadap rahay thay jo duniya me dosti ke liye

Hamaari khaaq ko daaman say jhaadnay waalo
Sab is muqaam se guzrengay zindagi ke liye

Hamaaray baad rahegaa andheraa mehfil me
Chiraagh laakh jalaaogay raushani kay liye

                                        (Writer unknown)


No comments:

Post a Comment

A Practical Example of Injustice

A Beautiful Motivational Video:  A Teacher’s Practical Example of Injustice If we do not stand up for others today,        No one will stan...