Friday, November 1, 2019

Khizaan ki rut main gulaab lehja banaa kay rakhna - Kamaal ye hai

Khizaan ki rut main gulaab lehja banaa kay rakhna - Kamaal ye hai
Hawaa ki zad main diya jalaana, jalaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai

Zaraa si larzish pay tod detay hain sab t'alluq zamaanay waalay
So - aesay waison say bhi taalluq banaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai

Kisi ko dena yeh mashwaraa, ke wo dukh bichadnay ka bhool jaaye
Aur aesay lamhay main apnay aansu chhupaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai

Khayaal apnaa, mizaaj apnaa, pasand apni - kamaal kya hai ?
Jo yaar chaahay wo haal apnaa banaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai 

Kisi ki raah say Khuda ki khaatir uthaa kay kaantay, hataa kay pathar
Phir us kay aagay nigaah apni jhukaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai

Woh jis ko dekhay, to dukh ka lashkar bhi larkhadaaye, shikast khaaye
Labon pay apnay woh muskurahat sajaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehjay main aajizee say
Adab ki lazzat, duaa ki khusbu basaa 
kay rakhna - Kamaal ye hai


                                                      (writer unknown)

Zad me = within the proximity
Larzish = Movement
Mashwaraa = Advice
Lashkar = Army

No comments:

Post a Comment

A Practical Example of Injustice

A Beautiful Motivational Video:  A Teacher’s Practical Example of Injustice If we do not stand up for others today,        No one will stan...