Thursday, April 11, 2019

Bura Tu bhi nahin, Main bhi nahin

Lagzishon say maavraa tu bhi nahin, main bhi nahin 
Donon insaan hain Khuda tu bhi nahin, main bhi nahin 

Tu mujhay aur main tujhay ilzaam deta hoon magar 
Apnay andar jhaanktaa tu bhi nahin, main bhi nahin 

Maslehat nay kar diya donon mein paida ikhtilaaf   
Varna fitarat ka bura tu bhi nahin, main bhi nahin 

Chaahtay donon bahut ik doosray ko hain magar 
Ye haqeeqat maantaa tu bhi nahin, main bhi nahin 

Jurm kee nauiyyaton mein kuchh tafaavut ho to ho 
Dar-haqeeqat paarsaa tu bhi nahin, main bhi nahin 

Raat bhee veeraan - faseel-e-shehar bhee tooti huyi 
Aur sitam ye, jaagtaa tu bhi nahin, main bhi nahin 

Jaan-e-Aarif tu bhee ziddi tha, anaa mujh mein bhi thee 
Donon khud-sar thay, jhukaa tu bhi nahin, main bhi nahin 
                         ' Sayyad Aarif '

Lagzish                      Mistakes, Errors, Flaws 
Maavara                    Distant, Free
Maslehat                    Discrimination of good and bad or self-interest (in this context) 
Ikhtilaaf                     Difference (in opinions)
Nauiyyaton               Types, Kinds
Tafaavut                    Distance
Paarasa                      Pure, Pious, Faultless, without any sin
Faseel-e-shahar       Wall - surrounding the city for protection
Anaa                          Pride, Ego
Khud-Sar                  Proud, Self-absorbed 

No comments:

Post a Comment

Jo Bhajay Hari ko Sada जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा

जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा  Jo Bhajay Hari ko Sada Soyi Param Pad Payega