Yesterday, while driving, a Mercedes was waiting at the red light in front of my car.
I saw a homeless person approaching the driver and asking for some money.
The driver of Mercedes signaled him to get lost.
Suddenly a sher came to my mind and then the whole Ghazal later.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek hee shehar mein shehanshah bhee hai, gadaa bhee hai
Ameer kee anaa bhee hai - gareeb kee sadaa bhee hai
Yoon to goonjtay hain mehafilon mein keh-kahay magar
Muskuraatee aankh mein ik ashq posheeda bhee hai
Bevajah hotee nahin hain doston mein ranjishen
Ranjishen hain dil mein to aakhir koyi vaja bhee hai
Chaah kar bhee ho nahin paati hai aakhir baat kyon
Shaayad galat-fehamiyon ka darmiyaan pardaa bhee hai
Kya huaa, jo khatam dilon say aashnayee ho gayee
Huyee jo tarq - to kuchh baaisay tarqe-vafaa bhee hai
"Huzoor - mujhay aapkee soorat bhee ganvaara nahin"
Baat mein talkhi hai uski - adab ka lehjaa bhee hai
Yoon hee be-matalab nahin hotee kabhee khamoshiyaan
Khaamushee mein chhupaa koyi toofaan shoreeda bhee hai
i
Kyon magar uthtay hain dil mein valvalay 'Rajan' agar
Paravar-digaare-aalam kee rehmat pay aqeedaa bhee hai
"Rajan Sachdeva"
Gadaa Beggar, Poor
Anaa Ego, pride

Sadaa Call, Cry for help
Keh-kahay Loud laugh
Posheeda Hidden
Aashnaayi Love, Affection
Tarq Break, To end
Baaise-tarqe-wafaa Reason for the break-up
Talkhi Bitterness, Rudeness
Adab Respect, Courteous
Shoreeda Noisy

Beautiful! ❤
ReplyDeleteWow !! Pls keep writing Rajan ji .... Nirankar bless ๐๐
ReplyDelete❤️ thank you for sharing your lovely thoughts
ReplyDelete